Aaj Ki Awaz (Title) lyrics, the song is sung by Mahendra Kapoor from Aaj Ki Awaz (1984). Aaj Ki Awaz (Title) Motivational soundtrack was composed by Ravi Shankar Sharma (Ravi) with lyrics written by Hasan Kamal.
Aaj ki awaz
Aaj ki awaz jag aye insan
Waqt kahta hai waqt ko pahchan
Aaj ki awaz jag aye insan
Waqt kahta hai waqt ko pahchan
Aaj ki awaz
Zindagi kitni behifazat hai
Kal bhi aayega kya jamanat hai
Din paresan hai raat hai hairan
Waqt kahta hai waqt ko pahchan
Aaj ki awaz
bharatlyrics.com
Karke saye mein agar jawa hongi
Ye nayi nashle kal kaha hongi
Hosh mein aa ja ab to aye nadan
Waqt kahta hai waqt ko pahchan
Aaj ki awaz
Kya nagar hai ye kaisi basti hai
Ya to mitti se jan sashti hai
Zindagi muskil maut hai asan
Waqt kahta hai waqt ko pahchan
Aaj ki awaz
Dekh ghar aangan lut nahi jaye
Pyar ke rishte chut nahi jaye
Kal bachane ka aaj hi kar dhyan
Waqt kahta hai waqt ko pahchan
Aaj ki awaz jag aye insan
Waqt kahta hai waqt ko pahchan
Aaj ki awaz.