AASHIQANA LYRICS: The song is sung by Chaar Diwaari, Indian Ocean and Gini from album Parvana. "Aashiqana", a Playful song was composed by Chaar Diwaari, with lyrics written by Chaar Diwaari and Dr Sagar.
Aashiqana Lyrics
Koi parvana tha kisso mein raag mein
Koi kitaab mein birha ki aag mein
Kanha yeh khela hai kya?
Khol ke pankh woh jab van mein uda
Raat mein roshni tak hua baawra
Kanha yeh khela hai kya?
Aisa woh nadaan tha aag se hi pyaar tha
Maut bhi jo aaye toh woh hans ke mare aashiqana
Jashn chalta rahe main tumhara
Kal jo hum na rahein aashiqana
Jashn chalta rahe main tumhara
Aur koi thi shama koi aftaab si
Baatein rabaab si kacchi sharaab si
Kanha yeh khela hai kya?
Nasha aisa chadha bekhud ho gaya
Prem ki lapton mein parvana kho gaya
Kanha yeh khela hai kya?
Jalte chiraagon mein tu jo mila
Sooraj mein paaya jo tera pata
Chaand mein dekhi jo teri chhavi
Paagal hua main deewana hua
Ho [?] daga [?] karoge nahi
Yeh toh ghalib ko bhi hai pata
Jab hai tumko khabar [?] aao nazar
Usme jaana meri kya khata
Aisa main nadaan tha aag se hi pyaar tha
Maut bhi jo aaye toh hum hans ke mare aashiqana
Jashn chalta rahe main tumhara
Kal jo hum na rahein aashiqana
Jashn chalta rahe main tumhara
Aa karke baitho ab na satao
Dekho meri jaan hui shaam hai
Aansu ko poncho baahon mein aao
Kitni meri jaan tu pareshaan hai
Dhal gayi hai ghata udd gaya hai dhuan
Baahon mein aa so jaa mujh mein tu gum ho jaa
Kal ko riha do gham ko bhulao
Dekho na kitna aaraam hai
bharatlyrics.com
Aisa tu nadaan tha aag se hi pyaar tha
Maut bhi jo aaye toh tu hans ke mare aashiqana
Jashn chalta rahe main tumhara
Kal jo hum na rahein aashiqana
Jashn chalta rahe main tumhara
Aashiqana
Jashn chalta rahe main tumhara
Kal jo hum na rahein aashiqana
Jashn chalta rahe main tumhara
Aashiqana
Jashn chalta rahe main tumhara
Kal jo hum na rahein aashiqana
Jashn chalta rahe main tumhara
Aashiqana
Jashn chalta rahe main tumhara
Kal jo hum na rahein aashiqana
Jashn chalta rahe main tumhara
