Armaan Bhara Dil Tut Gaya lyrics, the song is sung by Lata Mangeshkar, Mukesh Chand Mathur (Mukesh) from Wafa (1950). The music of Armaan Bhara Dil Tut Gaya Sad track is composed by Vinod while the lyrics are penned by Aziz Kashmiri.
Armaan bhara dil tut gaya
Taqdeer ke aansoo behte hain
Duniyaa ke sitam kaa afsaanaa
Ham apne dil se kehte hain
bharatlyrics.com
In chaand sitaaron se puchho
Barbaad huyi hain neenden bhi
In chaand sitaaron se puchho
Barbaad huyi hain neenden bhi
Ye phool bane hain angaarey
Ham yaad mein jalte rehte hain
Jalti hai shama to raaton ko
Jab aaye saweraa chain mile
Jalti hai shama to raaton ko
Jab aaye saweraa chain mile
Is dil ki lagi bechain nahin
Din raat sulagte rehte hain
Sukh chain gaya dukh dard milaa
Dil deke tadapnaa le baithhe
Sukh chain gaya dukh dard milaa
Dil deke tadapnaa le baithhe
Jeene kaa sahaaraa koi nahin
Ham dard mein dube rehte hain
Duniyaa ka yahi dastoor raha
Har pyaar bhara dil choor raha
Duniyaa ka yahi dastoor raha
Har pyaar bhara dil choor raha
Honthon pe khushi ke geet nahin
Ab gham ke taraane rehte hain
Armaan bhara dil tut gaya
Taqdeer ke aansoo behte hain.