Hasraten Barbaad Hain lyrics, the song is sung by Asha Bhosle from Laila (1954). The music of Hasraten Barbaad Hain Playful track is composed by A.R. Qureshi while the lyrics are penned by Mulkraj Bhakri.
Hasraten barbaad hain
Armaan hamaare lut gaye ae
Hasraten barbaad hain
Armaan hamaare lut gaye ae
Pyaar ki manzil se pehle
Gham ke maare lut gaye ae
bharatlyrics.com
Chaandni raaten
Wo chori ki mulaaqaaten kahaan aan
Khwaab ho kar reh gayin
Wo pyaar ki baaten kahaan aan
Ab andhera aasmaan hai
Chaand taare lut gaye ae
Pyaar ki manzil se pehle
Gham ke maare lut gaye ae
Aa ke tujh bin har kadam per
Thhokaren khaate hain ham
Bhoolne waale kabhi
Tujhko bhi yaad aate hain ham
Aasraa tera hai baaqi
Sab sahaare lut gaye ae
Pyaar ki manzil se pehle
Gham ke maare lut gaye ae
Dar-badar hain
Jaise ki mera khuda koi nahin
Dar-badar hain
Jaise ki mera khuda koi nahin
Doobti kashti hoon
Jiska naakhuda koi nahin een
Maujen ab royen kahaan jaakar
Kinaare lut gaye
Pyaar ki manzil se pehle
Gham ke maare lut gaye ae.