ISS TARAH LYRICS: Iss Tarah is a Playful song, voiced by Chaar Diwaari and Sonu Nigam from Chaar Diwaari. The song is composed by Chaar Diwaari, with lyrics written by Chaar Diwaari.
Iss Tarah Lyrics
Ambar se saagar mile
Le chal tu wahaan mujhe
Iss tarah aa
Ke phir hum mil na paayein
Aa ja shaam dhalti jaaye
Jaana dhoondhe tujhe deewana
Iss tarah aa
Ke phir hum mil na paayein
Aa ja shaam dhalti jaaye
Jaana dhoondhe tujhe deewana
bharatlyrics.com
Aadha dil aadhi rooh
Main aadha hoon aadhi tu
Aise hon phir hum kyun
Reh jaayein aadhe yun?
Kya kuch aisa karein
Hum samay ke pare
Mil jaayein
Aur pighal jaayein
Aadha din aadhi raat
Aakash se rang chura
Tod loon ghol doon
Ek pyaale mein sab bhula
Pyala main bhi piyoon
Pyala tu bhi piye
Mil jaayein
Aur waqt pighal jaaye
Aisi koi jahan mile
Le chal tu wahaan mujhe
Iss tarah aa
Ke phir hum mil na paayein
Aa ja shaam dhalti jaaye
Jaana dhoondhe tujhe deewana
Kya maine koi maangi dua
Ya sajda koi kiya
Kisi rishi ki lagi ho kripa
Jo maine tujhe dekha
Pairon mein payal bole
Naachun main meera si
Sharmaaye radha sa mann
Gar mere mohan hasein
Agar ho pyaar mujhse zara
Baahon mein ab bhar lo na
Kal kya ho kisne jaana?
Iss tarah aa
Ke phir hum mil na paayein
Aa ja shaam dhalti jaaye
Jaana dhoondhe tujhe deewana
Ghar se awaara main
Paanv mein chhaale liye
Chalta raha chalta raha
Honthon pe tera naam
Khud se hi baatein sil ke
Rakhta raha rakhta raha
Bhavron ne mujhse kaha
Pagal patanga hua
Shayad unko dikha nahi
Tu jo mujhe dikha
Ab bas ye
Poochta hoon tujhse main
Aisa kya tha mujhmein
Jo tu mujhe na dikha
