Kali Paksh Ya Hari Paksh Lyrics - Narci

LYRICS OF KALI PAKSH YA HARI PAKSH: The song is sung by Narci from Narci. KALI PAKSH YA HARI PAKSH is a Hip Hop song, composed by Narci, with lyrics written by Narci.

Kali Paksh Ya Hari Paksh Lyrics

Yat phalam nasti tapasa na yogena samadhina
Tat phalam labhate samyak kalau kesava-kirtanat

Main ghar narayan le aaya
Main ghar narayan le aaya
Ab ghar ki koi fikr nahi hai
Ghar narayan le aaya
Main ghar narayan le aaya
Ab ghar ki koi fikr nahi hai
Main ghar narayan le aaya
Main ghar narayan

Rishton pe na dhyan kisi ka aankhein dekhe gehno ko
Bheed tabhi to ayegi malin cheer yadi pehno to
Sangeet juda maa saraswati se aaj kya dekho dasha hui
Gaane mein ye de rahe hai gaali maa aur behano ko

Kali kaal hai sakha mere jahan paap bane udharan hai
Kaam vaasna mein uljhe na kahin hari uchchaaran hai
Hairan nahi hoon narayan main avgat hoon in logon se
Kali kaal mein ye sab hona baat badi saadhaaran hai

Tilak lagana mathe pe ab jaane kyun inhe sharm lage
Geeta pe na gaur kiya hai tabhi to acche karm dabe
Jo bhool chuke paribhaasha hi sanatan ki to zaahir hai
Wo kyun na chor hari ko fir kali asur ko param kahe

Shiksh leke bhi bacchon ka sahi bacha na lehza hai
Na ramayan ka gyan jise wo bhakt ram ka kaisa hai
Maha kumbh ka pata nahi par coldplay pe atke ye
Bacchon ko hum kya kahe yahan yuvakaal bhi aisa hai

Maat pita ke niji kshno ko bech rahe content bana
Siva bazaarun baaton ke hai bata zara content kahan
Jo influencer kehte inko na unka khud ka svaabhimaan
Warna gaali sunne ko kyun hote sab present wahan

Na kadar kabhi bhi samjhegi bheed meri in baaton ki
Pare bheed se chalta hoon aur ram roshni aankhon ki
Main kyun hi maanu bura bhala jab kali kaal se avagat hoon
Aise logon ke liye hi bheed lagegi lakhon ki

Aayu dus ke bacche bhi ab dharam guru ban baithey hai
Nashe mein rehne waalo ko yahan log ishwar kehte hai
Paakhand kare jo log yahan pe unko bolun kya kahun
Sacche praani kyun aur kaise un saaro ko sehte hai

Hari bhajan mein chain mile hai warna duniya kashton jaisi
Hari sada hi kripa kare aasha meri raston baithi
Shukr manaata hoon ki main to narayan mein leen rahun
Warna meri soch bhi hoti shayad maili dushton jaisi

Sooraj ko mana kar laaya hoon
Sooraj ko mana kar laaya hoon
Andhiyaare ki ab koi nahi hai
Ghar narayan le aaya
Main ghar narayan le aaya
Ab ghar ki koi fikr nahi
Main ghar narayan le aaya
Main ghar narayan

bharatlyrics.com

Jo narayan ko jaan chuke wo baat swyam hi kehte hai
Hum kaale yug mein bas ke bhi baikunth dhaam mein rehte hai
Kaat rahe hai din yahan na kaale yug se matlab hai
Kalki darshan hetu hi to intezaar mein baithey hai

Main jaaun ya na jaaun par ye kalam to bhav ke paar chali
Dil ko chain mile geeton mein prabhu tumhe utaar ke hi
Maana laakhon paap kiye par jab mujhko ehsaas hua
Hari sharan mein aake maine maafi ki guhaar kari

Kanya ka satkaar na teri nazaron mein aa paayega
Naari ko jo aankhon mein tu vastu jaisa paayega
Kal yadi jo beti janmi yaad ye rakhna baat meri
Jo karm kiye jawani wo un saaro pe pachhataayega

Paap chhupa le jitne bhi par thakur ko dikh jaate hai
Karmon ke ye chhand bade hum yun hi na likh paate hai
Ab bhi karne hai to karle karm bure tu laakhon par
Yaad ye rakhna baat sada ki karm laut ke aate hai

Main narayan ki seva mein hoon chaubis ghante jhuka hua
Paas parbhu le aaya hoon hridy mera ye dukha hua
Mar to jaata kab main na kaale yug mein hridy lage
Ye marzi mere hari ki hai jo ab bhi hoon main ruka hua

Khone ka kya bhay karun aap ho mere sath khade
Veerani si ghadiyon mein they samjhe tum ehsaas mere
Le lo chaahe saara kuch par karne ko haan stuti teri
Kalam kitaabe aur sangeet rehne dena paas mere

Ghar narayan le aaya
Main ghar narayan le aaya
Ab ghar ki koi fikr nahi hai
Ghar narayan le aaya
Main ghar narayan le aaya
Ab ghar ki koi fikr nahi hai
Main ghar narayan le aaya
Main ghar narayan

Kali Paksh Ya Hari Paksh Lyrics PDF Download
Print Print PDF     Pdf PDF Download

FAQs

The song Kali Paksh Ya Hari Paksh is from the Narci.

The song Kali Paksh Ya Hari Paksh was sung by Narci.

The music for Kali Paksh Ya Hari Paksh was composed by Narci.

The lyrics for Kali Paksh Ya Hari Paksh were written by Narci.

The music director for Kali Paksh Ya Hari Paksh is Narci.

The song Kali Paksh Ya Hari Paksh was released under the Narci.

The genre of the song Kali Paksh Ya Hari Paksh is Hip Hop.