LYRICS OF KOH-QAF: The Punjabi song is sung by Satinder Sartaaj from Satinder Sartaaj. KOH-QAF is a Pop song, composed by Satinder Sartaaj, with lyrics written by Satinder Sartaaj.
Koh-Qaf Lyrics
Main koh-kaafon mein
Firta hoon aawara
Kabhi makdoonia
Kab hoon bukhara
Main us parda-nashin ko dhundta hoon
Kahin to maah-jabin ka ho nazara
Main koh-kaafon mein
Firta hoon aawara
Kya rukhsaar ki kahiye
Pari si hu-b-hu thi
Koi khushbu nashili si bhi
Uske chaar su thi
Ke jannat mein bana libaas uska
Ke wo firdaus ka koi sitara
Main koh kaafon mein
Firta hoon aawara
Kabhi makdoonia
Kab hoon bukhara
Kasak si hai ye ke dil mein ke
Main ab iran jaun
Main dhundu misar mein usko
Yaan fir yunaan jaun
Kahin se dilruba aawaz de de
Hassin aankhon ka mil jaaye nazara
Main koh kaafon mein
Firta hoon aawara
Kabhi makdoonia
Kab hoon bukhara
Main sadqey jaun
Sharmaane se parda-daarion se
Thi bikhri sard-muskaahat
Surkh chingaarion se
Ye dil aadaar hai
Bedaar bhi hai
Ke wo jalwa dikhana fir dobara
Main koh-kaafon mein
Firta hoon aawara
Thi naazuk es kadar ke
Gull ko bhi aaye pasina
Blaa ki khoobsurat wo
Gazal jaisi hasina
Ke resham si poshaakon mein tha lipta
Gulabi dehkta koi sharara
Main koh kaafon mein
Firta hoon aawara
Kisi shayer ka khat aaya
Ke wo lahore se hai
Mujhe shak hai
Wo mere gaaon se
Bajraur se hai
Usi punjab ki purnoor malika
Koi sartaaj hai uska sahara
Main koh kaafon mein
Firta hoon aawara
Main koh kaafon mein
Firta hoon aawara
Kbhi makdoonia
Kb hoon bukhara
Main us parda nashin ko dhundta hoon
Kahin to maah jabin ka ho nazara
Kahin to maah jabin ka ho nazara
Main koh kaafon mein
Firta hoon aawara