Main Deewana Mastana lyrics, the song is sung by Mukesh Chand Mathur (Mukesh) from Chalis Din (1959). The music of Main Deewana Mastana Happy track is composed by Babul Bose while the lyrics are penned by Kaifi Azmi.
Main deewana mastana
Ho mushqil bhed mera paa jana
Main deewana mastana
Main deewana mastana
Mushqil bhed mera paa jana
Main deewana mastana
Duniyaa meri thokar mein
Toofaan qaid mere saagar mein
Toofaan qaid mere saagar mein
Sara zamana mera nishana
Sara zamana mera nishana
Khel nahin mujhse takrana
Mushqil bhed mera paa jana
Main deewana mastana
bharatlyrics.com
Charche mere panghat par
Roke raah machal ke dilbar
Mast jawaani meri deewaani
Mast jawaani meri deewaani
Husn mujhe de dil nazraanaa
Mushqil bhed mera paa jana
Main deewana mastana
Dushman jhoothe yaaro kaa
Sacha yaar wafadaro kaa yaaro
Sacha yaar wafadaro kaa
Tod de patthar josh mein aakar
Tod de patthar josh mein aakar
Ye dil kaa naazuk paimaanaa
Mushqil bhed mera paa jana
Main deewana mastana
Main deewana mastana
Mushqil bhed mera paa jana
Main deewana mastana.