PAIGHAAM LYRICS: This Playful song is sung by JalRaj & released by JalRaj. PAIGHAAM song was composed by JalRaj, with lyrics written by JalRaj.
Paighaam Lyrics
Socha tha paighaam milega
Jisme bas tera naam milega
Ishq samajh ke padhne laga
Maloom na tha ilzaam milega
Rakh kar sar baahon mein teri
Socha tha aaraam milega
Ishq mein tere ghulne laga
Maloom na tha ilzaam milega
bharatlyrics.com
Ho o o o o
Ho o o o o
Aa aa aa aa aa
Aa aa aa aa aa
Ishq mein tere jeene laga
Marne ka mujhe paighaam milega
Main bhatakne hi laga tha
Aa gaya tu saamne
Ishq khud se phir dobaara
Mujhko karna aa gaya
Main bikharne sa laga tha
Aa gaya tu thaamne
Sookhe ashquon se nikal kar
Phir sambhalna aa gaya
Chaaha tha jise jaan se zyaada
Badle mein bejaan milega
Ishq samajh ke milne laga
Maloom na tha ek daam milega
Socha tha paighaam milega
Jisme bas tera naam milega
Ishq samajh ke padhne laga
Maloom na tha ilzaam milega
Rakh kar sar baahon mein teri
Socha tha aaraam milega
Ishq mein tere ghulne laga
Maloom na tha ilzaam milega
Ishq-e-gunaah ye karne de
Aaj mujhe bas marne de
Ya to khuda se kehne de
Na ye mohabbat rehne de
Ishq-e-gunaah ye karne de
Aaj mujhe bas marne de
Ya to khuda se kehne de
Na ye mohabbat rehne de
