ZAMANE KI ZANJEER LYRICS IN HINDI: Zamane Ki Zanjeer () is a Hindi Pop song, voiced by Arslan Nizami, Farozan Nizami and Huzaif Nazar from Artiste First. The song is composed by Arslan Nizami, Farozan Nizami and Huzaif Nazar, with lyrics written by Arslan Nizami, Farozan Nizami and Huzaif Nazar.
Zamane Ki Zanjeer Lyrics
Fikro mein kyu hai tu duba hua
Qatron ka dariya tu hi ab bana
Unse kahe kya apni sada
Jo hujoom befikre hai chal raha
Asal o azal se pehle
Maqaam e arsh pe
Takhleeq e khalq hui
Elaan e haq hua
Mitti ke putlon mein fooki thi rooh
Tab jaake insaan bana
Jannat mein galti ki faili thi bu
Toh khuda bezaar hua
Naraazi ke khatir bahaaye ashq
Darwaza band hua kam hua rizq
Naam e amaal har pal ka hisaab
Zindagani ka yuhi agaaz hua
Badli hawaaein aur badle zamaaney
Badalte rahe tareeke puraane
Bhula di jab humne niamat e illahi
Toh humse khuda naraaz hua
Hai tu toh qafreen phir bhi diyanat hi milengi
Har pal duniya jahan toh shiqayatien karegi
Zamane ki ye zanjeero me tera khwaab banda
Lautienge ek din wo wahi jahaan
Tere sath na tha koi khada
More saiyaan
Baithe chhaiyan
Saaz banaave
Geet sunawey
Sukhi roti
Taaron sang wo
Haath bada ke
Mujh ko khilaavey
Ab karu sawaal mere maula mai tujhse
Bachale zamane ki mujhko kafas se
Baras baras fehla ilm o daras phir bhi
Chaar o aur kyu bas insaani fitne
An baithu yaha likhne
Yaha kitne fitne
Jitni badi fikre
Utne fitne bikne
Dabi dabi kirne
Dikhne lagi girne
Lage jitne apne
Toote utne sapne
Ab sapne ki dhoondo tabeere mai
Khataao pe likhdu tafseerien mai
Zanjeero se bande hai khwaab
Talashu naseeb ko hath pe bani lakeero mai
Yeh khwab hai kuch khaas hai
Kuch kho diya kuch pass hai
Ye khawaab hai ehsaas hai
Har pal yeh naya jahan hai
Zamane ki zanjeero me tera khwaab banda
Lautienge ek din wo wahi jahaan
Tere sath na tha koi khada