Aaj Ka Din Hai Bada Mahan Lyrics - Lata Mangeshkar

Aaj Ka Din Hai Bada Mahan lyrics, the song is sung by Lata Mangeshkar from Parivar (1968). The music of Aaj Ka Din Hai Bada Mahan Patriotic track is composed by Anandji Virji Shah, Kalyanji Virji Shah while the lyrics are penned by Gulshan Bawra (Gulshan Kumar Mehta).

Aaj hai do october ka din
Aaj ka din hai bada mahan
Aaj ke din phool khile hai
Jinse mahka hindustan

Nam ek ka bapu gadhi
Or ek lal bahadur hai
Ek ka nara amar desh me
Jai jawan jai kisan
Jai jawan jai kisan

Bapu jisne manwata ka
Dunia ko sandesh diya
Bagdor bharat ki sambhali
Nehru ko adesh diya
Lal bahadur jisne hamko
Garw se jina sikhlaya
Sach pucho to geeta ka
Adhyaya usine dohraya
Jai jawan jai kisan
Jai jawan jai kisan

bharatlyrics.com

Vishwa shanti ke hit me dekho
Surviro ne kiye hai tyag
Ek ka nara amar desh me
Jai jawan jai kisan
Jai jawan jai kisan

Mere munne do october ke
Subh din hi tu janma
Meri yahi dua hai ki
Un jaisa hi tu banna
Or un jaisa na ban apye
To fir itna karna
Kam se kam unke batalaye
Raste pe hi tu chalna
Jai jawan jai kisan
Jai jawan jai kisan

Tumpe dunia naj karegi
Tu hai un veero ki shan
Ek ka nara amar desh me
Jai jawan jai kisan
Jai jawan jai kisan
Aaj hai do october ka din
Aaj ka din hai bada mahan
Aaj ke din phool khile hai
Jinse mahka hindustan
Jai jawan jai kisan
Jai jawan jai kisan.

Aaj Ka Din Hai Bada Mahan Lyrics PDF Download
Print Print PDF     Pdf PDF Download