Aasman Tujhse Shiqaayat Lyrics - Shamshad Begum

Aasman Tujhse Shiqaayat lyrics, the song is sung by Shamshad Begum from Saqi (1952). Aasman Tujhse Shiqaayat Playful soundtrack was composed by Ramchandra Narhar Chitalkar (C. Ramchandra) with lyrics written by Rajendra Krishan.

Aasman tujhse shiqaayat
Gham ke maare kya karen
Raat din taaro ke bismil ho
Wo taare kya karen

bharatlyrics.com

Khushi se dur hun majbur hun
Beaasra hun main
Khushi se dur hun majbur hun
Beaasra hun main
Zara sun lo kisi tute huye
Dil ki sada hun main
Khushi se dur hun majbur hun
Beaasra hun main

Mere aage yehi duniya
Kisi din sar jhukaati thhi
Ishaare pe ye mere
Raah mein aansu bichhaati thhi
Magar ab dekhne waalo
Isi duniya mein kya hun main
Zara sun lo kisi tute huye
Dil ki sada hun main
Khushi se dur hun majbur hun
Beaasra hun main

Mujhe jhula jhulaaya
Hai gulistaan ki baharo ne
Mujhe paala baharo ne
Magar luta khizaao ne
Chaman ki jaan thhi ik din
Chaman se ab juda hun main
Zara sunlo kisi tute huye
Dil ki sada hun main
Khushi se dur hun majbur hun
Beaasra hun main.

Aasman Tujhse Shiqaayat Lyrics PDF Download
Print Print PDF     Pdf PDF Download