Ab Kahan Jaayen Hum Lyrics - Prabodh Chandra Dey (Manna Dey)

Ab Kahan Jaayen Hum lyrics, the song is sung by Prabodh Chandra Dey (Manna Dey) from Ujala (1959). Ab Kahan Jaayen Hum Sad soundtrack was composed by Jaikishan Dayabhai Panchal, Shankar Singh Raghuvanshi with lyrics written by Shailendra (Shankardas Kesarilal).

Ab kahan jaayen hum
Ye bataa aye zamin
Is jahaan mein to
Koi hamara nahin
Is jahaan mein to
Koi hamara nahin

Apne saaye se bhi log darne lage
Ab kisiko kisi par bharosa nahin
Ab kisiko kisi par bharosa nahin
Ab kahan jaayen hum

Hum ghar ghar jaate
Hain ye dil dikhlaate hain
Par ye duniyaawaale
Hum ko thukraate hain
Hum ghar ghar jaate
Hain ye dil dikhlaate hain
Par ye duniyaawaale
Hum ko thukraate hain
Raaste mit gaye manzilein kho gayi
Ab kisi ko kisi par bharosa nahin
Ab kahan jaayen hum
Aaa aaa aaa

Nafrat hai nigaahon mein
Vehshat hai nigaahon mein
Ye kaisa zeher phaila
Duniya ki hawaaon mein
Nafrat hai nigaahon mein
Vehshat hai nigaahon mein
Ye kaisa zeher phaila
Duniya ki hawaaon mein
Pyaar ki bastiyaan
Khaaq hone lagin
Ab kisi ko kisi par bharosa nahin
Ab kahan jaayen hum

bharatlyrics.com

Har saans hai mushqil ki
Har jaan hai ek moti
Baazaar mein par
Inki ginati hi nahin hoti
Har saans hai mushqil ki
Har jaan hai ek moti
Baazaar mein par
Inki ginati hi nahin hoti
Zindagi ki yaha koi kimat nahin
Ab kisi ko kisi par bharosa nahin
Ab kisi ko kisi par bharosa nahin

Ab kahan jaayen hum
Ye bataa aye zamin
Is jahaan mein to
Koi hamara nahin
Ab kahan jaayen hum.

Ab Kahan Jaayen Hum Lyrics PDF Download
Print Print PDF     Pdf PDF Download

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *