Abb Yaad Na Kar Lyrics - Lata Mangeshkar, Mukesh Chand Mathur (Mukesh)

Abb Yaad Na Kar lyrics, the song is sung by Lata Mangeshkar, Mukesh Chand Mathur (Mukesh) from Anokha Pyar (1948). The music of Abb Yaad Na Kar Sad track is composed by Anil Krishna Biswas while the lyrics are penned by Muhammad Shams-Ul-Haq Azimabadi.

Abb yaad na kar bhul
Ja ae dil wo fasana
Wo pyar ki ghadiya wo
Mohabbat ka zamana
Abb yaad na kar

Kyo yaad tujhe aati hai
Biti huyi bate tu bhul ja
Tu bhul ja wo pyar
Ke din pyar ki rate
Abb tut chuka hai woh
Tera khwab suhana
Woh pyar ki ghadiya wo
Mohabbat ka zamana
Abb yaad na kar

Ae jhumati lehrati
Hui mast hawao
Ae pyare nazaroo rangin fizao
Tum jake unhe
Aaj mera hal sunao
Tum jake unhe
Aaj mera hal sunao
Keh do ke mera dil hai
Tumhara hi diwana
Hai pyar ki ghadiya
Hai mohabbat ka zamana

Aati hain mere kano
Mein ye kiski sadaye
Tum dil se khud hi
Puchh lo ham kyo ye bataye

Yaad aane laga
Yaad aane laga
Yaad aane laga phir
Mujhe woh bhula fasana
Wo pyar ki ghadiya
Wo mohabbat ka zamana

bharatlyrics.com

Aa ja ke abb is dard
Bhare dil ko bhulaye
Armano ke gulashan
Mein naye phool khilaye
Hum tere hain dil tera
Hai yeh bhul na jana
Bhul na jana
Yeh bhul na jana

Ham tere hain dil tera
Hai yeh bhul na jana
Bhul na jana yeh bhul na jana.

Abb Yaad Na Kar Lyrics PDF Download
Print Print PDF     Pdf PDF Download