Ae Chaand Ki Zebai Lyrics - Mohammed Rafi

Ae Chaand Ki Zebai lyrics, the song is sung by Mohammed Rafi from Chhoti Si Mulaqat (1967). Ae Chaand Ki Zebai Romantic soundtrack was composed by Jaikishan Dayabhai Panchal, Shankar Singh Raghuvanshi with lyrics written by Hasrat Jaipuri.

Ae chaand ki zebai
Tu jhool ja baanhon mein
Madhosh bahaaren bhi
Lene lagin angdaayi
Ae chaand ki zebai
Tu jhool ja baanhon mein
Madhosh bahaaren bhi
Lene lagin angdaayi
Ae chaand ki zebai

Jalne de mere dil ko
Rukhsaar ke sholon mein
Jalne de mere dil ko
Rukhsaar ke sholon mein
Aata hai nasha humdum
Maujon ke jhakolon mein
Paagal kiye deti hai
Mehki huyi tanhaayi
Madhosh bahaaren bhi
Lene lagin angdaayi
Ae chaand ki zebai

bharatlyrics.com

Daaman na bacha mujh se
Daaman se lipatne de
Daaman na bacha mujh se
Daaman se lipatne de
Aanchal ki yeh deewaaren
Girti hain to girne de
Jooda jo khula tera
Khushboo si chali aayi
Madhosh bahaaren bhi
Lene lagin angdaayi
Ae chaand ki zebai

Jis haath ko thhaama hai
Woh haath na chhodoonga
Jis haath ko thhaama hai
Woh haath na chhodoonga
Kitne bhi janam le lo
Main saath na chhodoonga
Sadiyon se main tera hoon
Ae jaan-e-tamannaayi
Madhosh bahaaren bhi
Lene lagin angdaayi
Ae chaand ki zebai
Tu jhool ja baanhon mein
Madhosh bahaaren bhi
Lene lagin angdaayi
Ae chaand ki zebai.

Ae Chaand Ki Zebai Lyrics PDF Download
Print Print PDF     Pdf PDF Download

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *