Aye Ji Kaho Kya Hal Hai Lyrics - Asha Bhosle, Kishore Kumar

Aye Ji Kaho Kya Hal Hai lyrics, the song is sung by Asha Bhosle, Kishore Kumar from Anpadh (1978). The music of Aye Ji Kaho Kya Hal Hai Playful track is composed by Hemanta Kumar Mukhopadhyay while the lyrics are penned by Majrooh Sultanpuri.

Aye ji kaho kya hal hai
Tum bhi na samjhe kamal hai
Ho kahiye ye kya khidmat karo
Ek nazar ka sawal hai
Kardi nazar ye lijiye
Bas yuhi rahne dijiye
Aye ji kaho kya hal hai
Tum bhi na samjhe kamal hai

Mili nazar tumko kya mila
Yahi to dil ka ilaz
Aah to fir ye aachal to chodiye
Bahut kadi dhup aaj hai
Chaw lambe balo ki
Dal du to kaisa ji
Bada suhana khyal hai
Aye ji kaho kya hal hai
Tum bhi na samjhe kamal hai
Ho kahiye ye kya khidmat karo
Ek nazar ka sawal hai

bharatlyrics.com

Chamak chamak dolti ho kyu
Pasand hai tumko ye ada
Are kasam se tum bhi azib ho
Are are hamne kya kiya
Tum to aise chalti ho
Jaise dil pe chalti ho
Hamari aisi hi chal hai
Aye ji kaho kya hal hai
Tum bhi na samjhe kamal hai
Ho kahiye ye kya khidmat karo
Ek nazar ka sawal hai

Ye hum nikal aaye kitni dur
Ye bhul jane ki bat hai
Pata nahi waqt kya hua
Na jane din hai ke rat hai
Rat nahi ji ye hai din
Or baras ka pahla din
Bada mubarak ye sal hai
Aye ji kaho kya hal hai
Tum bhi na samjhe kamal hai
Ho kahiye ye kya khidmat karo
Ek nazar ka sawal hai
Kardi nazar ye lijiye
Bas yuhi rahne dijiye

Aye Ji Kaho Kya Hal Hai Lyrics PDF Download
Print Print PDF     Pdf PDF Download