Aye Zindagi Ke Saathi Lyrics - Suman Kalyanpur

Aye Zindagi Ke Saathi lyrics, the song is sung by Suman Kalyanpur from Fareb (1968). Aye Zindagi Ke Saathi Romantic soundtrack was composed by Usha Khanna with lyrics written by Asad Bhopali.

Aye zindagi ke saathi
Jaanaa na zindagi se
Aye zindagi ke saathi
Jaanaa na zindagi se
Mere saanson mein mehakana
Mera dil ban ke dhadakna
Aye zindagi ke saathi
Jaanaa na zindagi se

Dheemi dheemi aag
Dehekte gaalon ki
Halki halki chhaon
Sunehre baalon ki
Dheemi dheemi aag
Dehekte gaalon ki
Halki halki chhaon
Sunehre baalon ki
Tere liye hai lekin
Kehna na tu kisi se
Aye zindagi ke saathi
Jaanaa na zindagi se
Aye zindagi ke saathi
Jaanaa na zindagi se

bharatlyrics.com

Pehle pehle pyaar ne
Li hai angdaayi
Pehli pehli baar
Mili hai tanhaayi
Pehle pehle pyaar ne
Li hai angdaayi
Pehli pehli baar
Mili hai tanhaayi
Ab to galey se lagaa le
Sarko na door hi se
Aye zindagi ke saathi
Jaanaa na zindagi se
Aye zindagi ke saathi
Jaanaa na zindagi se

Dil ki naazuk baat
Zubaan tak aa pahunchi
Badhte badhte baat
Kahaan tak aa pahunchi
Dil ki naazuk baat
Zubaan tak aa pahunchi
Badhte badhte baat
Kahaan tak aa pahunchi
Darti nahin hai mohabbat
Duniya ki be rukhi se
Aye zindagi ke saathi
Jaanaa na zindagi se
Ae zindagi ke saathi
Jaanaa na zindagi se
Mere saanson mein mehakna
Mera dil ban ke dhadakna
Aye zindagi ke saathi
Jaanaa na zindagi se.

Aye Zindagi Ke Saathi Lyrics PDF Download
Print Print PDF     Pdf PDF Download

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *