Baazi Kisine Pyar Ki Lyrics - Mohammed Rafi

Baazi Kisine Pyar Ki lyrics, the song is sung by Mohammed Rafi from Nazrana (1961). The music of Baazi Kisine Pyar Ki Sad track is composed by Ravi Shankar Sharma (Ravi) while the lyrics are penned by Rajendra Krishan.

Ek pyaasa tujhe maikhaana die jaata hai
Jaate-jaate bhi ye nazaraana die jaata hai

bharatlyrics.com

Baazi kisi ne pyaar ki jeeti ya haar di
Baazi kisi ne pyaar ki jeeti ya haar di
Jaise guzar saki, ye shab-e-gham guzaar di
Baazi kisi ne pyaar ki jeeti ya haar di

Saahil karega yaad usi naamuraad ko
Saahil karega yaad usi naamuraad ko
Kashti khushi se jis ne bhanvar men utaar di
Jaise guzar saki, ye shab-e-gham guzaar di
Baazi kisi ne pyaar ki jeeti ya haar di

Jab chal pade safar ko to, mud ke kya dekhana
Jab chal pade safar ko to, mud ke kya dekhana
Duniya ka kyaa hai us ko sada baar-baar di
Duniya ka kyaa hai us ko sada baar-baar di
Jaise guzar saki, ye shab-e-gham guzaar di
Baazi kisi ne pyaar ki jeeti ya haar di
Baazi kisi ne pyaar ki jeeti ya haar di.

Baazi Kisine Pyar Ki Lyrics PDF Download
Print Print PDF     Pdf PDF Download