Babul Ka Ghar Chhod Ke Lyrics - Lata Mangeshkar

Babul Ka Ghar Chhod Ke lyrics, the song is sung by Lata Mangeshkar from Rakhi (1949). Babul Ka Ghar Chhod Ke Playful soundtrack was composed by Bhagatram Batish, Husnlal Batish with lyrics written by Sarshar Sailani.

Babul ka ghar chhod ke
Gori ho gayi aaj parai re
Doli dekh jiyara dole aankh
Neer bhar layi re

Pyari jag ki reet ri sakhiyo
Kaun kisi ka meet ri sakhiyo
Pyari jag ki reet ri sakhiyo
Kaun kisi ka meet ri sakhiyo
Jhoothi sab ki preet sakhiyo
Kisne preet nibhayi re
Babul ka ghar chhod ke gori
Ho gayi aaj parai re
Doli dekh jiyara dole aankh
Neer bhar layi re

Jin galiyo mein bachpan bita
Kholi aankh jawani ne
Un galiyo se kiya kinara
Sakhiyo ki patrani ne
Bhaiya ka man bhar bhar aaye
Chhod chali maa jayi re
Babul ka ghar chhod ke gori
Ho gayi aaj parai re
Doli dekh jiyara dole aankh
Neer bhar layi re

bharatlyrics.com

Khet kyar mein kho kar gori
Humko bhul na jana
Roz nahi to kabhi kabhi
Do aksar likh bhijwana
Dheere dheere madhur suro mein
Yahi kahe sahnayi re
Babul ka ghar chhod ke gori
Ho gayi aaj parai re
Doli dekh jiyara dole aankh
Neer bhar layi re
Babul ka ghar chhod ke gori
Ho gayi aaj parai re
Doli dekh jiyara dole aankh
Neer bhar layi re.

Babul Ka Ghar Chhod Ke Lyrics PDF Download
Print Print PDF     Pdf PDF Download