Bada Hai Banka Mera Lyrics - Asha Bhosle, Kamal Barot

Bada Hai Banka Mera lyrics, the song is sung by Asha Bhosle, Kamal Barot from Balram Shri Krishna (1968). The music of Bada Hai Banka Mera Masti track is composed by Ramchandra Narhar Chitalkar (C. Ramchandra) while the lyrics are penned by Ramchandra Baryanji Dwivedi (Kavi Pradeep).

Bada hai banka mera devariya
Pyara ye nandlal
Ae aaj hai dhanay janamdin iska
Are do re nagaro pe tan

Mathura me janme gokul me khele
Mathura me janme gokul me khele
Phir aaye dvarika dham
Shayam ji ka kya kahna
Gopiyo ke pyar me makhan chura ke
Duniya me hue badnam
Shayam ji ka kya kahna
kya kahna o ho kya kahna
Shayam ji ka kya kahna

Bachpan me the bade natkhat ye kana
Natkhat ye kana
Bas inka dhanda tha sabko satana
Sabko satana
Gagriya patakte kabhi
Chunariya jhatakte kabhi
Kunjh me bhatakte kabhi
Ghat par matakte kabhi
Gagriya patakte kabhi
Chunariya jhatakte kabhi
Kunjh me bhatakte kabhi
Ghat par matakte kabhi
O adhbut the sab inke kam
Shayam ji ka kya kahna

bharatlyrics.com

Mathura me janme gokul me khele
Phir aaye dvarika dham
Shayam ji ka kya kahna
kya kahna o ho kya kahna
Shayam ji ka kya kahna

Bahar se kuch hai bhitar se kuch hai
Hamre ye govind gopala
Hamre ye govind gopala
Gori gori gudiyo se briz balao pe
Lattu bade the ye lala
Lattu bade the ye lala
Gore badan jaha jaha
Tirchhe nayan jaha jaha
Nayi chitwan jaha jaha
Vashikaran jaha jaha
Gore badan jaha jaha
Tirchhe nayan jaha jaha
Nayi chitwan jaha jaha
Vashikaran jaha jaha

O waha waha inka mukam
Shayam ji ka kya kahna
Mathura me janme gokul me khele
Phir aaye dvarika dham
Shayam ji ka kya kahna
kya kahna o ho kya kahna
Shayam ji ka kya kahna
Gopiyo ke pyar me makhan chura ke
Duniya me hue badnam
Shayam ji ka kya kahna.

Bada Hai Banka Mera Lyrics PDF Download
Print Print PDF     Pdf PDF Download