Bahaar Aai Khili Kaliyaan Lyrics - Lata Mangeshkar

Bahaar Aai Khili Kaliyaan lyrics, the song is sung by Lata Mangeshkar from Alif Laila (1953). Bahaar Aai Khili Kaliyaan Sad soundtrack was composed by Shyam Sunder Premi (Shyam Sunder) with lyrics written by Sahir Ludhianvi.

Bahaar aai, khili kaliyaan, hanse taare, chale aao
Hame jeene nahi dete ye nazaare, chale aao
Bahaar aai khili kaliyaan

Zubaan par aah ban ban ke
Zubaan par aah ban ban ke
Tumhaaraa naam aataa hai
Muhabbat me tumhi jeete
Hami haare chale aao
Hame jeene nahi dete ye nazaare, chale aao
Bahaar aai khili kaliyaan

Kahi aisaa na ho
Dil ki lagi dil hi ko le dube
Kahi aisaa na ho
Dil ki lagi dil hi ko le dube
Bujhaae se nahi bujhate ye angaare chale aao
Hame jeene nahi dete ye nazaare, chale aao

bharatlyrics.com

Bahaar aai, khili kaliyaan, hanse taare, chale aao
Hame jeene nahi dete ye nazaare, chale aao
Bahaar aai.

Bahaar Aai Khili Kaliyaan Lyrics PDF Download
Print Print PDF     Pdf PDF Download