Bahane Kyun Karti Ho Lyrics - Mohammed Rafi

Bahane Kyun Karti Ho lyrics, the song is sung by Mohammed Rafi from Saheli (1965). The music of Bahane Kyun Karti Ho Romantic track is composed by Anandji Virji Shah, Kalyanji Virji Shah while the lyrics are penned by Indeevar (Shyamalal Babu Rai).

Bahane kyun karti ho
Humpe tum bhi marti ho
Bahane kyun karti ho
Humpe tum bhi marti ho
Abhi to naya sath hai
Aaj hansi to kal bhi hansogi
Pyar kisi din karne lagogi
Thode dino ki baat hai
Bahane kyun karti ho

Sabse tum zuda sahi
Husn ke khuda sahi
Ada hi ada sahi
Hum bhi bure to nahi
Nazar maikada sahi
Zulf ek ghata sahi
Tum pe sab fida sahi
Hum bhi bure to nahi

bharatlyrics.com

Kab tak tadpaogi
Rah par aa jaogi
Kab tak tadpaogi
Rah par aa jaogi
Abhi to naya sath hai
Aaj mili to kal bhi milogi
Aah kisi din bharne lagogi
Thode dino ki bat hai
Bahane kyu karti ho
Humpe tum bhi marti ho
Bahane kyu karti ho
Humpe tum bhi marti ho

Rang ke nikhar par
Rup ki bahar par
Ankohe singar par
Tumko agar naz hai
Game intzar par dile bekarar par
Hume apne pyar par
Tumse bada naz hai
Aji ye gussa chhodo
Abhi se dil na todo
Aji ye gussa chhodo
Abhi se dil na todo
Abhi to naya sath hai
Aankh jhuki to dil bhi jhukega
Ab ye milan to hoke rahga
Thode dino ki baat hai
Bahane kyu karti ho
Abhi to naya sath hai
Aaj hansi to kal bhi hansogi
Pyar kisi din karne lagogi
Thode dino ki bat hai
Bahane kyu karti ho.

Bahane Kyun Karti Ho Lyrics PDF Download
Print Print PDF     Pdf PDF Download