Bahosho Hawaz Mein Deewana Lyrics - Mohammed Rafi

Bahosho Hawaz Mein Deewana lyrics, the song is sung by Mohammed Rafi from Night In London (1967). Bahosho Hawaz Mein Deewana Romantic soundtrack was composed by Laxmikant Shantaram Kudalkar (Laxmikant Pyarelal), Pyarelal Ramprasad Sharma (Laxmikant Pyarelal) with lyrics written by Anand Bakshi.

Bahosho hawaz mein deewana
Ye aaj vasiyat karta hun
Bahosho hawaz mein deewana
Ye aaj vasiyat karta hun
Ye dil ye jaan mile tumako mai
Tumase muhabbat karta hun
Bahosho hawaz mein deewana
Ye aaj vasiyat karta hun

bharatlyrics.com

Mere jite ji yaar tumhe
Meri saari jaagir mile
Mere jite ji yaar tumhe
Meri saari jaagir mile
Woh khwaab jo mai ne dekhe hai
Un khwaabo ki taabir mile
Har ek tamannaa ke badale me
Aaj ye hasarat karta hun
Ye dil ye jaan mile tumako mai
Tumase muhabbat karta hun
Bahosho hawaz mein deewana
Ye aaj vasiyat karta hun

Meri aankho me nid nahi
Mere hotho par pyaas nahi
Meri aankho me nid nahi
Mere hotho par pyaas nahi
Har chiz tumhaare naam hui
Ab kuchh bhi mere paas nahi
Tumane to lut liyaa mujhako
Mai tumase shiqaayat karta hun
Ye dil ye jaan mile tumako mai
Tumase muhabbat karta hun

Bahosho hawaz mein deewana
Ye aaj vasiyat karta hun
Ye dil ye jaan mile tumako mai
Tumase muhabbat karta hun
Bahosho hawaz mein deewana
Ye aaj vasiyat karta hun.

Bahosho Hawaz Mein Deewana Lyrics PDF Download
Print Print PDF     Pdf PDF Download