Bahut Diya Dene Wale Ne Lyrics - Mukesh Chand Mathur (Mukesh)

Bahut Diya Dene Wale Ne lyrics, the song is sung by Mukesh Chand Mathur (Mukesh) from Soorat Aur Seerat (1962). The music of Bahut Diya Dene Wale Ne Philosophical track is composed by Roshanlal Nagrath (Roshan) while the lyrics are penned by Shailendra (Shankardas Kesarilal).

Bahot diya dene wale ne tujhako
Bahot diya dene wale ne tujhako
Aanchal hi na samaaye to kya kije
Bit gaye jaise ye din raina
Baaki bhi kat jaye dua kije

bharatlyrics.com

Jo bhi de de maalik tu kar le qubul
Jo bhi de de maalik tu kar le qubul
Kabhi kabhi kaanto mein bhi khilte hai phool
Wahaan der bhale hai andher nahi
Ghabaraa ke yun gila mat kije
Bahot diya dene waale ne tujhako
Aanchal hi na samaaye to kya kije

Denge dukh kab tak bharam ke ye chor
Denge dukh kab tak bharam ke ye chor
Are dhalegi ye raat pyaare phir hogi bhor
Kab roke ruki hai samay ki nadiya
Ghabara ke yun gila mat kije
Bahot diya dene waale ne tujhako
Aanchal hi na samaye to kya kije
Bit gaye jaise ye din raina
Baaki bhi kat jaaye dua kije.

Bahut Diya Dene Wale Ne Lyrics PDF Download
Print Print PDF     Pdf PDF Download