Beqarar Karke Humein lyrics, the song is sung by Hemanta Kumar Mukhopadhyay from Bees Saal Baad (1962). The music of Beqarar Karke Humein Romantic track is composed by Hemanta Kumar Mukhopadhyay while the lyrics are penned by Shakeel Badayuni.
Beqaraar karke hame yun na jaaiye
Aap ko hamaari kasam laut aaiye
bharatlyrics.com
Beqaraar karke hame yun na jaaiye
Aap ko hamaari kasam laut aaiye
Dekhiye vo kaali kaali baadliyaan
Zulf ki ghataa churaa na le kahin
Chori chori aake shokh bijaliyaan
Aapki adaa churaa na le kahin
Yun qadam akele na aage badhaaiye
Aap ko hamaari kasam laut aaiye
Beqaraar karke hame yun na jaaiye
Aap ko hamaari kasam laut aaiye
Dekhiye gulaab ki vo daaliyaan
Badhke choom le na aap ke qadam
Dekhiye gulaab ki vo daaliyaan
Badhke choom le na aap ke qadam
Khoe khoe bhanvare bhi hai baag me
Koi aapko banaa na le sanam
Baheki baheki nazaro se khud ko bachaaiye
Aap ko hamaari kasam laut aaiye
Beqaraar karke hame yun na jaaiye
Aap ko hamaari kasam laut aaiye
Zindagi ke raaste ajib hai
Inme is tarah chalaa na kijiye
Khair hai isi me aapki huzur
Apanaa koi saathi dhundh lijiye
Sunke dil ki baat yun naa muskuraaiye
Aap ko hamaari kasam laut aaiye
Beqaraar karke hame yun na jaaiye
Aap ko hamaari kasam laut aaiye
Beqaraar karke hame yun na jaaiye
Aap ko hamaari kasam laut aaiye
