Bhagwan Na Mangu Lyrics - Mohammed Rafi

Bhagwan Na Mangu lyrics, the song is sung by Mohammed Rafi from Raja Vikram (1957). Bhagwan Na Mangu Happy soundtrack was composed by B.N. Bali with lyrics written by Bharat Vyas.

Bhagwan bhagwan bhagwan
Na mangu main tera jaha
Parbhu na mangu swarg ka dan
Mujhe dena yahi wardan
Ke jisne mera kiya hai bura
Tu uska karde bhala bhagwan
Tu uska karde bhala bhagwan

Bhed bhaw ka khel racha kar
Hum bante hai andhe
Bhed bhaw ka khel racha kar
Hum bante hai andhe
Kaun dost hai kon dusman
Sabhi hai tere bande
Tu hai sabka pita balwan
Teri jo nirbal hai santan
Tu unka karde bhala bhagwan
Tu unka karde bhala bhagwan

Sabhi tumhari leela hai
Parbhu kya raja kya rank ho
Sabhi tumhari leela hai
Parbhu kya raja kya rank ho
Koyal mithe geet sunaye
Koyal mithe geet sunaye
Saap marta dank
Yeh sab hai tera farman
Inhe apne ki nahi pahchan
Tu inka karde bhala bhagwan
Tu inka karde bhala bhagwan

bharatlyrics.com

Mujh par jinhone patthar giraye
Mujh par jinhone patthar giraye
Unko de phulo ki mala
Mujhko jinhone jahar pilaya
Unko de amrit ka pyala
Unko de amrit ka pyala
Apni galti se wo anjaan
Natije ka nahi hai unko gyan
Tu unka karde bhala bhagwan
Tu unka karde bhala bhagwan.

Bhagwan Na Mangu Lyrics PDF Download
Print Print PDF     Pdf PDF Download