Chaman Ki Jaan Ho Rangeen Lyrics - Suresh Rajvanshi

Chaman Ki Jaan Ho Rangeen lyrics, the song is sung by Suresh Rajvanshi from Irada (1971). Chaman Ki Jaan Ho Rangeen Playful soundtrack was composed by Goher Mumtaz, Vitthal with lyrics written by Kafil Azar.

Chaman ki jaan ho
Chaman ki jaan ho
Chaman ki jaan ho
Rangeen ye bahaar ho tum
Chaman ki jaan ho
Rangeen ye bahaar ho tum
Jawab jiska nahin hai
Wo shaahkaar ho tum
Chaman ki jaan ho
Rangeen ye bahaar ho tum

Tumhaari zulf ki
Khushboo se raat
Jhoom uthhe
Sitaare raqs kare
Kaaynaat jhoom uthhe
Kali kali ka kali kali ka
Mehakta hua nikhaar ho
Tum chaman ki jaan ho

Jahaan e ishq o mohabbat
Tumhaare dam se hai
Tasavuraat ki jannat
Tumhaare dam se hai
Mere haseen
Mere haseesn khayaalon ka
Intezaar ho tum
Jawab jiska nahin hai
Wo shaahkaar ho tum
Chaman ki jaan ho
Rangeen ye bahaar ho tum

bharatlyrics.com

Tum apne husn ki
Raanaaiyaan mujhe de do
Jo ho sake to ye
Angdaayiyaan mujhe de do
Ke meri jaan ke meri jaan
Mera dil mera qaraar ho tum
Jawab jiska nahin hai
Wo shaahkaar ho tum
Chaman ki jaan ho
Rangeen ye bahaar ho tum
Chaman ki jaan ho
Rangeen ye bahaar ho tum.

Chaman Ki Jaan Ho Rangeen Lyrics PDF Download
Print Print PDF     Pdf PDF Download

FAQs

The song Chaman Ki Jaan Ho Rangeen is from the Irada (1971).

The song Chaman Ki Jaan Ho Rangeen was sung by Suresh Rajvanshi.

The music for Chaman Ki Jaan Ho Rangeen was composed by Goher Mumtaz, Vitthal.

The lyrics for Chaman Ki Jaan Ho Rangeen were written by Kafil Azar.

The music director for Chaman Ki Jaan Ho Rangeen is Goher Mumtaz, Vitthal.

The song Chaman Ki Jaan Ho Rangeen was released under the Saregama.

The genre of the song Chaman Ki Jaan Ho Rangeen is Playful.