Chandaniya Nadiya Lyrics - Hemanta Kumar Mukhopadhyay

Chandaniya Nadiya lyrics, the song is sung by Hemanta Kumar Mukhopadhyay from Anjaan (1956). Chandaniya Nadiya Romantic soundtrack was composed by Hemanta Kumar Mukhopadhyay with lyrics written by Rajendra Krishan.

Chandaniya nadiya beech nahaaye
O sheetal jal mein aag lagaaye
Ke chanda dekh dekh muskaaye
Ho raama ho raama ho
Chandaniya nadiya beech nahaaye
O sheetal jal mein aag lagaaye
Ke chanda dekh dekh muskaaye
Ho raama ho raama ho

Poochh rahi hai lahar lahar se
Kaun hai ye matwaali
Poochh rahi hai lahar lahar re
Kaun hai ye matwaali
Tan ki gori chanchal chhori
Gende ki ek daali
Ho ho ho
Roop ki chadhti dhoop sunahra
Rang aaj barsaaye
Ho raama ho raama ho
Chandaniya nadiya beech nahaaye
O sheetal jal mein aag lagaaye
Ke chanda dekh dekh muskaaye
Ho raama ho raama ho

bharatlyrics.com

Parbat parbat ghoom ke aayi
Ye albeli dhaaraa
Parbat parbat ghoom ke aayi
Ye albeli dhaaraa
Kyaa jaane kis aasmaan se
Toota hai ye taara
Ho ho ho
Shola banake phool kanwal ka
Jal mein bahtaa jaaye
Ho raama ho raama ho

Chandaniya nadiya beech nahaaye
O sheetal jal mein aag lagaaye
Ke chanda dekh dekh muskaaye
Ho raama ho raama ho
Chandaniya nadiya beech nahaaye
O sheetal jal mein aag lagaaye
Ke chanda dekh dekh muskaaye
Ho raama ho raama ho.

Chandaniya Nadiya Lyrics PDF Download
Print Print PDF     Pdf PDF Download