Daulat Ke Jhuthe Nashe Lyrics - Mohammed Rafi

Daulat Ke Jhuthe Nashe lyrics, the song is sung by Mohammed Rafi from Oonchi Haveli (1955). Daulat Ke Jhuthe Nashe Sad soundtrack was composed by Shivram Krishna with lyrics written by Bharat Vyas.

Daulat ke juthe
Nashe mein ho chur
Garibo ki duniya
Se rehte ho door
Aji ek din aisa aayega
Jab matti mein
Sab mil jayega
Matti hi audan
Matti bichhavan
Matti ka tan ban jayega
Matti mein sab mil jayega

bharatlyrics.com

Unche aasman se
Bhi uchi teri aas hai
Par kabhi socha nahi
Ginati ki saans hai
Iska tu hisab kar
Angutha ungliyo pe dhar
Kitne kharch kar raha bhalai
Kitni tu laga raha burai mein
Bhalai ka phal reh jayega
Baki matti sab mil jayega
Matti hi audan
Matti bichhavan
Matti ka tan ban jayega
Matti sab mil jayega

Unchi haveli ye unche mahal
Unchi haveli ye unche mahal
Pal bhar jayenge pagle badal
Le tu kisi ki duao ka phal
Le tu kisi ki duao ka phal
Badi se tu tal aur neki pe chal
Jaisa boyega vaisa payega
Baki matti sab mil jayega
Daulat ke juthe
Nashe mein ho chur
Garibo ki duniya
Se rehte ho door
Aji ek din aisa aayega
Matti sab mil jayega
Matti hi audan
Matti bichavan
Matti ka tan ban jayega
Matti sab mil jayega
Daulat ke juthe
Nashe mein ho chur.

Daulat Ke Jhuthe Nashe Lyrics PDF Download
Print Print PDF     Pdf PDF Download