Dekhie Huzur Lyrics - Asha Bhosle, Mohammed Rafi

Dekhie Huzur lyrics, the song is sung by Asha Bhosle, Mohammed Rafi from Tu Nahin Aur Sahi (1960). Dekhie Huzur Romantic soundtrack was composed by Ravi Shankar Sharma (Ravi) with lyrics written by Asad Bhopali.

Dekhiye huzur mujhse rah ke dur dur
Kheliye na dil e beqarar se
Dekhiye huzur mujhse rah ke dur dur
Kheliye na dil e beqarar se
Pyar ka jawab dijiye pyaar se
Chodiye ji hath
Kijiye dur hi se baat
Kam lijiye thode intazar se
Baaj aaye ham to aise pyaar se
Dekhiye huzur mujhse rah ke dur dur
Kheliye na dil e beqarar se
Pyar ka jawab dijiye pyaar se

Itani berukhi hamse kisliye
Dil diya hai kya hamne isaliye
Itani berukhi hamse kisliye
Dil diya hai kya hamne isaliye
Aap to janab had se badh chale
Bato bato me pad gaye gale
Chal diye kaha
Baat suniye meharaba
Baithine to do ghadi qaraar se
Pyar ka jawab dijiye pyaar se
Chodiye ji hath
Kijiye dur hi se baat
Kam lijiye thode intazar se

bharatlyrics.com

Yu hame agar dekh le koyi
Sochiye zara kya kahe koyi
Yu hame agar dekh le koyi
Sochiye zara kya kahe koyi
Koyi kuch kahe kahane dijiye
Pyaar ke hai din pyaar kijiye
Jaiye janab kaha ham hai kaha aap
Phul kyo uljhane lage khar se
Baaj aaye ham to
Dekhiye huzur mujhse rah ke dur dur
Kheliye na dil e beqarar se
Pyar ka jawab dijiye pyaar se

Aapki qasam sune to zara
Beqarar dil kah raha hai kya
Aapki qasam sune to zara
Beqarar dil kah raha hai kya
Dil ki baat ka aitabar kya
Aapse bura dil hai aapka
Aapko nahi jo dil ki baat par yaqi
To puch lijiye mausam e bahaar se
Pyar ka jawab dijiye pyaar se
Chodiye ji hath
Kijiye dur hi se baat
Kam lijiye thode intazar se
Baaj aaye ham to aise pyaar se

Dekhiye huzur mujhse rah ke dur dur
Kheliye na dil e beqarar se
Pyar ka jawab dijiye pyaar se.

Dekhie Huzur Lyrics PDF Download
Print Print PDF     Pdf PDF Download