Dil Ke Dhokhe Mein Na Aana Lyrics - Mohammed Rafi, Suraiya Jamaal Sheikh (Suraiya)

Dil Ke Dhokhe Mein Na Aana lyrics, the song is sung by Mohammed Rafi, Suraiya Jamaal Sheikh (Suraiya) from Shaan (1950). The music of Dil Ke Dhokhe Mein Na Aana Happy track is composed by Hansraj Behl while the lyrics are penned by Rajendra Krishan.

Dil ke dhokhe mein na aana
Dil ki jhoothi zaat hai
Aji dil ki jhoothi zaat hai
Raat ko ye din keh de
Aur din ko keh de raat hai
Dil ki jhoothi zaat hai
Aji dil ki jhoothi zaat hai
Dil ke dhokhe mein na aana
Dil ki jhoothi zaat hai
Aji dil ki jhoothi zaat hai
Raat ko ye din keh de
Aur din ko keh de raat hai
Dil ki jhoothi zaat hai
Aji dil ki jhoothi zaat hai

bharatlyrics.com

Ek maze ki baat bataaun
Suno kaleja thhaam ke
Aji suno kaleja thhaam ke
Jin mein kisi ka pyaar nahin hai
Wo dil bhi kis kaam ke
Aji wo dil bhi kis kaam ke
Maano ya na maano lekin
Bade pate ki baat hai
Dil ke dhokhe mein na aana
Dil ki jhoothi zaat hai
Aji dil ki jhoothi zaat hai
Raat ko ye din keh de
Aur din ko keh de raat hai
Dil ki jhoothi zaat hai
Aji dil ki jhoothi zaat hai

Pyaar ki galiyon mein
Dilwaale khel na dil ka khelna
Khel na dil ka khelna
Khushiyon se munh
Mod ke ik din dard padega jhelna
Dard padega jhelna
Kadam kadam par
Iss duniya mein ashqon ki barsaat hai
Dil ke dhokhe mein na aana
Dil ki jhoothi zaat hai
Aji dil ki jhoothi zaat hai
Raat ko ye din keh de
Aur din ko keh de raat hai
Dil ki jhoothi zaat hai
Aji dil ki jhoothi jaat hai

Dil ko jhootha kehne waali
Dil ka kehna maan le
Aji dil ka kehna maan le
Dil hi sona
Dil hi chaandi
Dil ko daulat jaan le
Aji dil ko daulat jaan le
Na na na na
Saat ko ye chhe kehde
Aur chhe ko kehde saat hai
Dil ke dhokhe mein na aana
Dil ki jhoothi zaat hai
Aji dil ki jhoothi zaat hai
Raat ko ye din keh de
Aur din ko keh de raat hai
Dil ki jhoothi zaat hai.

Dil Ke Dhokhe Mein Na Aana Lyrics PDF Download
Print Print PDF     Pdf PDF Download