Dil Mein Ai Ji Dil Mein Lyrics - Lata Mangeshkar, Mukesh Chand Mathur (Mukesh)

Dil Mein Ai Ji Dil Mein lyrics, the song is sung by Lata Mangeshkar, Mukesh Chand Mathur (Mukesh) from Meri Bhabhi (1969). Dil Mein Ai Ji Dil Mein Playful soundtrack was composed by Laxmikant Shantaram Kudalkar (Laxmikant Pyarelal), Pyarelal Ramprasad Sharma (Laxmikant Pyarelal) with lyrics written by Majrooh Sultanpuri.

Dil mein ai ji dil mein
Koyi rehtaa hai rehtaa hai
Kaun hai batlaao
Sapna hai ke apna hai
Ai ji dil mein
Dil mein ai ji dil mein
Koyi rehtaa hai rehtaa hai
Kaun hai batlaao
Sapna hai ke apna hai
Ai ji dil mein
Dil mein ai ji dil mein
Wahi rehtaa hai rehtaa hai
Jo koyi apna hai
Aur jeewan ka sapna hai
Ai ji dil mein

Ye nayan hamse hi magar
Hain kyun begaane se
Ye nayan hamse hi magar
Hain kyun begaane se
Fasle badhte hain
Kyun aur qareeb aane se
Kyun aur qareeb aane se
Doori ai ji doori
Bas itni hai itni hai
Fasla chhaya ka
Apne tan se jitnaa hai
Ai ji dil mein

bharatlyrics.com

Pyaar mein sharmaayi
Hasi wo mukh par kafi hai
Pyaar me sharmaayi
Hasi wo mukh par kafi hai
Mil ke jhuk jaaye to
Bas ek nazar kafi hai
Bas ek nazar kafi hai
Samjhe ham samjhe
Ye kahti ho kahti ho
Tum khadi sharmaao
Aur hamko munh takna hai
Ai ji dil mein

Laaj to rakh logi
Adhoori si in baato ki
Laaj to rakh logi
Adhoori si in baato ki
Tod to naa dogi
Zanjeer mulaqato ki
Zanjeer mulaqato ki
Haay re meri mushkil
Tum kya jaano kya jaano
Saamne aana bhi ghunghat
Mein bhi chhipnaa hai
Ai ji dil mein
Dil mein ai ji dil mein
Koi rehtaa hai rehtaa hai
Jo koyi apna hai aur
Jeewan ka sapna hai
Ai ji dil mein.

Dil Mein Ai Ji Dil Mein Lyrics PDF Download
Print Print PDF     Pdf PDF Download

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *