Do Roz Ka Jalwa Hai Lyrics - Geeta Ghosh Roy Chowdhuri (Geeta Dutt), Hamida Banu

Do Roz Ka Jalwa Hai lyrics, the song is sung by Geeta Ghosh Roy Chowdhuri (Geeta Dutt), Hamida Banu from Rajput (1951). The music of Do Roz Ka Jalwa Hai Playful track is composed by Hansraj Behl while the lyrics are penned by Kaif Irfani.

Aa aa aa chhupne ke liye hai
Na chhipaane ke liye hai
Do roz ka do roz ka jalwa hai
Dikhaane ke liye hai
Do roz ka jalwa hai
Dikhaane ke liye hai
Do roz ka jalwa hai
Dikhaane ke liye hai

Uthhta hua toofaan
Dabaana nahin achchaa
Jaage huye armaan
Sulaana nahin achcha
Ye kisne kaha dil ka
Lagaana nahin achcha aa
Ye kisne kaha dil ka
Lagaana nahin achcha
Aa aa aa aa aa aa aa aa aa aa
Ye kisne kaha dil ka
Lagaana nahin achcha
Kehte hain kehte hain jise dil
Wo lagaane ke liye hai
Kehte hain jise dil
Wo lagaane ke liye hai
Do roz ka jalwa hai
Dikhaane ke liye hai

bharatlyrics.com

Do din ka ye mela hai
Bahaaron ka mazaa loot
Do din ka ye mela hai
Bahaaron ka mazaa loot
Phoolon ka maza loot
Sitaaron ka mazaa loot
Mehfil mein haseeno ke
Ishaaron ka mazaa loot
Mehfil mein haseeno ke
Ishaaron ka mazaa loot
Aa aa aa aa aa aa aa
Aa aa aa aa aa aa aa
Mehfil mein haseeno ke
Ishaaron ka mazaa loot
Har naaz har naaz haseeno ka
Uthhaane ke liye hai
Har naaz haseeno ka
Uthhaane ke liye hai
Do roz ka jalwa hai
Dikhaane ke liye hai

Haan chhed zara
Jhoom ke ulfat ka taraana
Kehta jaa zamaane se
Mohabbat ka fasaana
Hai ishq ki thhokar mein
Zamaane ka zamaana kehte hain
Kehte hain jise aankh
Ladaane ke liye hai
Kehte hain jise aankh
Ladaane ke liye hai
Do roz ka jalwa hai
Dikhaane ke liye hai.

Do Roz Ka Jalwa Hai Lyrics PDF Download
Print Print PDF     Pdf PDF Download