Duniya Ke Logo O Duniya Ke Logo Lyrics - Prabodh Chandra Dey (Manna Dey)

Duniya Ke Logo O Duniya Ke Logo lyrics, the song is sung by Prabodh Chandra Dey (Manna Dey) from Mashaal (1950). The music of Duniya Ke Logo O Duniya Ke Logo Playful track is composed by Sachin Dev Burman while the lyrics are penned by Ramchandra Baryanji Dwivedi (Kavi Pradeep).

Duniya ke logo o duniya ke logo
Duniya ke logo lo himmat se kaam
Sabki fikar rakhne wala hai ram
Duniya ke logo o duniya
Ke logo o duniya ke logo

Prabhu ne banaye hai
Ham sabke vaste ham sabke vaste
Is sansar ke tede mede raste
Tede mede raste
Chale chalo ai pardesi musafiro
Dheere dheere aasate aasate
Dheere dheere aasate aasate
Ladna hai tujhe jiwan sangram
Sabki fikar rakhne wala hai ram
Duniya ke logo o duniya
Ke logo o duniya ke logo

Chhote chhote khatro se darte kyu ho
Ghadi ghadi aahe bharte kyu ho
Chhote chhote khatro se darte kyu ho
Ghadi ghadi aahe bharte kyu ho
Sabko milte yaha
Khushi aur gham
Khushi aur gham
Kisi ko jyada babu kisi
Ko kam o kisi ko kam
Malik jo de tumko pee lo wo jaam
Duniya ke logo lo himmat se kaam
Sabki fikar rakhne wala hai ram
Duniya ke logo o duniya
Ke logo o duniya ke logo

bharatlyrics.com

Bach bach ke chalna
Aur pag pag pe ladna
Aise jeene se behtar hai marna
Behtar hai marna aji behtar hai marna
Feko patwar aur langar ko tod do
Apni nauka ko aaj tat par hi chod de
Sagar mein kudh pado lekar hari naam
Duniya ke logo lo himmat se kaam
Sabki fikar rakhne wala hai ram
Duniya ke logo o duniya
Ke logo o duniya ke logo
Duniya ke logo o duniya
Ke logo o duniya ke logo
Duniya ke logo o duniya
Ke logo o duniya ke logo.

Duniya Ke Logo O Duniya Ke Logo Lyrics PDF Download
Print Print PDF     Pdf PDF Download