Ek Siwa Tere Lyrics - Mohammed Irfan

Ek Siwa Tere lyrics, the song is sung by Mohammad Irfan from Mushkil (2019). The music of Ek Siwa Tere Love track is composed by Vardan Singh while the lyrics are penned by Anjaan Sagri.

Ek siwa tere main kya sochun?
Ab siwa tere main kya dekhun?
Tu mujhme itna bikhra hai
Rooh tak tu meri utra hai
Meri chahat ka ye vaada hai
Tu mujhme mujhse jyada hai

Ek siwa tere main kya sochun?
Ab siwa tere main kya dekhun?
Tu mujhme itna bikhra hai
Rooh tak tu meri utra hai
Meri chahat ka ye vaada hai
Tu mujhme mujhse jyada hai

Bekhudi ka tu sahaara ban gaya hai indino
Tu tasalli ka kinara ban gaya hai indino
Ab tujhe paake main kya chahun?
Bas tera hoke jiye jaaun

Tu meri subah ka taara hai
Khaali raaton ka gujara hai
Meri chahat ka ye vaada hai
Tu mujhme mujhse jyada hai

Meri har ek saans teri saans se ab jud gayi
Behte bhete meri dhadkan teri tarfa mud gayi
Main tera saaya sada paun
Khud mein kuch harpal aa paun
Dil fida tujhpar humara hai
Teri khatir sab ganwara hai
Meri chahat ka ye vaada hai
Tu mujhme mujhse jyada hai.

Ek Siwa Tere Lyrics PDF Download
Print Print PDF     Pdf PDF Download