Gham Na Kar Lyrics - Talat Mahmood

Gham Na Kar lyrics, the song is sung by Talat Mahmood from Shahzada (1955). The music of Gham Na Kar Sad track is composed by Mohinder Singh Sarna while the lyrics are penned by Tanvir Naqvi.

Gham na kar khushi kaa daur aayega
Gham na kar zamana aur aayega
Gham na kar khushi kaa daur aayega
Gham na kar zamana aur aayega

Khatm ho gayi sitam ki daastan
Khatm ho gayi sitam ki daastan
Jhuk raha hai ab zameen pe aasma
Ab na ye hansi teri rulaayega
Gham na kar zamana aur aayega

Aa gaye hai dekho din bahaar ke
Aa gaye hai dekho din bahaar ke
Din guzar gaye hai intazaar ke
Din guzar gaye hai intazaar ke
Duhkh kaa ye sama badal hi jaayega
Gham na kar zamana aur aayega

Chaar din guzaar de hansi khushi
Chaar din guzaar de hansi khushi
Aa gaya vo vaqt jab ki aadmi
Thokare nasib ke na khaayega
Gham na kar zamana aur aayega

bharatlyrics.com

Dekhna ye raat kat hi jaayegi
Dekhna ye raat kat hi jaayegi
Iske baad subah muskuraayegi
Iske baad subah muskuraayegi
Ik naya jahaan jagmagaayega
Gham na kar zamana aur aayega
Gham na kar khushi kaa daur aayega
Gham na kar zamana aur aayega.

Gham Na Kar Lyrics PDF Download
Print Print PDF     Pdf PDF Download