घर से दूर Ghar Se Door Lyrics - Badshah

GHAR SE DOOR LYRICS IN HINDI: Ghar Se Door (घर से दूर) is a Sad song, recorded by Badshah from album The Power Of Dreams Of A Kid. The music of "Ghar Se Door" song is composed by Badshah, while the lyrics are penned by Badshah.

घर से दूर Lyrics in Hindi

बैठा हूँ मैं फ्लाइट में
मैनेजर है साइड में
तारे मेरी साइड में
जागा पूरी नाइट मैं

भारतलिरिक्स.कॉम

खाली बैठूँ जो मैं
होती एंग्जायटी
पागल वागल लगता है
क्या बोलेगी सोसाइटी

अपनी बच्ची से दूर हूँ
देखा नहीं कबसे
काम काम काम बस
दूर हुआ सबसे

मम्मी का फोन काटूँ
कभी कभी पापा को डाँटूँ
करूँ सीधे मुंह ना बात मैं
भूला अपनी औकात मैं
हुआ बर्बाद मैं

जागूँ पूरी रात मैं
कोई नहीं साथ में
जागूँ पूरी रात मैं
अपनी ही याद में
जागूँ पूरी रात मैं
देखूँ अपने हाथ मैं
जागूँ पूरी रात मैं
अपनी ही याद में

अए अए 6 शेहरों में घर
फिर भी घर से हूँ दूर मैं
मौज मैं करता हूँ या हूँ मजबूर मैं
क्या ही करूंगा होके इतना मशहूर मैं
जो मिट्टी में ही मिलना है सबने
सोऊंगा तभी तो देख पाऊँगा मैं सपने
इस ज़िंदगी से अब सर लगा खपने
जाने क्यूँ लोग मेरे नाम लगे जपने
जिनसे मिला भी नहीं उनकी भी
राय है मेरे बारे में
लोग अफवाह है फैलाएँ मेरे बारे में
जलने वाले गाने बनाएँ मेरे बारे में
माँ बाप को बातें बताएं मेरे बारे में

अए
इतना तो नाम नहीं जितना बदनाम हूँ
फिर भी सबकुछ करता सरे आम हूँ
गालियाँ सुन के भी रेहने लगा क्लाम हूँ
नाम बादशाह पर अपने फ़ेम का गुलाम हूँ
पब्लिक फ़िगर हूँ पब्लिक प्रॉपर्टि नहीं
मैं लोगों के रवैये से थोड़ा हैरान हूँ
बिलकुल तुच्चे से मुझ में भी दिल है
लोग भूल जाते है की मैं भी इंसान हूँ

जागूँ पूरी रात मैं
कोई नहीं साथ में
जागूँ पूरी रात मैं
अपनी ही याद में
जागूँ पूरी रात मैं
देखूँ अपने हाथ मैं
जागूँ पूरी रात मैं
अपनी ही याद में

टॉप पे खड़ा हूँ फिर भी रोने का मन है
भाग के थक्क गया हूँ सोने का मन है
जो भी कमाया सब खोने का मन है
एकदम से ही गायब होने का मन है
ये ज़िंदगी भूल जाने का मन है
फिर से वापस स्कूल जाने का मन है
दुनिया के लिए मर जाने का मन है
मेरा वापस घर जाने का मन है.

Ghar Se Door Lyrics

Baitha hoon main flight mein
Manager hai side mein
Taare meri side mein
Jaga poori night main

Khali baithun jo main
Hoti anxiety
Paagal vaagal lagta hai
Kya bolegi society

Apni bacchi se door hoon
Dekha nahi kab se
Kaam kaam kaam bas
Door hua sabse

Mummy ka phone katoon
Kabhi kabhi papa ko dantoon
Karoon seedhe munh na baat main
Bhoola apni aukaat main
Hua barbaad main

bharatlyrics.com

Jagun poori raat main
Koi nahi sath mein
Jagun poori raat main
Apni hi yaad mein
Jagun poori raat main
Dekhun apne hath main
Jagun poori raat main
Apni hi yaad mein

Aye aye, 6 shehron mein ghar
Phir bhi ghar se hoon door main
Mauj main karta hoon ya hoon majboor main
Kya hi karunga hoke itna mashhoor main
Jo mitti mein hi milna hai sabne
Sounga tabhi toh dekh paunga main sapne
Is zindagi se ab sar laga khapne
Jane kyun log mera naam lage japne
Jinse mila bhi nahi unki bhi
Rai hai mere baare mein
Log afwaah hai failayein mere baare mein
Jalne wale gaane banayein mere baare mein
Maa baap ko baatein batayein mere baare mein

Aye
Itna to naam nahi jitna badnaam hoon
Phir bhi sabkuch karta sare aam hoon
Galiyan sun ke bhi rehne laga calm hoon
Naam badshah par apney fame ka gulaam hoon
Public figure hoon public property nahi
Main logon ke ravaiye se thoda hairaan hoon
Bilkul tucche se mujh mein bhi dil hai
Log bhool jaate hain ki main bhi insaan hoon

Jagun poori raat main
Koi nahi saath mein
Jagun poori raat main
Apni hi yaad mein
Jagun poori raat main
Dekhun apne hath main
Jagun poori raat main
Apni hi yaad mein

Top pe khada hoon phir bhi rone ka mann hai
Bhag ke thakk gaya hoon sone ka mann hai
Jo bhi kamaya sab khone ka mann hai
Ekdum se hi gayab hone ka mann hai
Yeh zindagi bhool jaane ka mann hai
Phir se waapas school jaane ka mann hai
Duniya ke liye mar jaane ka mann hai
Mera wapas ghar jane ka mann hai.

Ghar Se Door Lyrics PDF Download
Print Print PDF     Pdf PDF Download