हंस के मिलना Hans Ke Milna Lyrics - Stebin Ben

HANS KE MILNA LYRICS: The song is sung by Stebin Ben and released by Zee Music Company label. HANS KE MILNA is the Punjabi Playful song, composed by Amjad Nadeem Aamir, with lyrics written by Azeem Shirazi.

Hans Ke Milna Lyrics

Hai woh itne haseen humko hai yeh yaqeen
Husn saara unhi pe khatam ho gaya
Jitne chehre the be noor sab ho gaye
Husn saare zamaane ka kam ho gaya

Hum toh naadaan the ishq ke khel mein
Hum toh naadaan the ishq ke khel mein
Berukhi ko bhi chaahat samajhte rahein

Hans ke milna toh aadat thi unki magar
Hans ke milna toh aadat thi unki magar
Humko dekho mohabbat samajhte rahein

Khwaab hi khwaab bas woh dikhaate rahein
Khwaab hi khwaab bas woh dikhaate rahein
Humko dekho haqeeqat samajhte rahein

Hans ke milna toh aadat thi unki magar

Humne dekhi hai aankhein bahut si magar
Unki aankhon mein lekin alag baat hai
Humne dekhi hai aankhein bahut si magar
Unki aankhon mein lekin alag baat hai

Baat karti hui muskuraati hui
Aisi aankhon se pehli mulaqaat hai

Shauq barbaad hone ka humko bhi tha
Ishq mein hum bhi barbaad ho hi gaye
Barbaad ho hi gaye

Ek dafa tum palat kar toh dekho humein
Hum bhi samjhenge aabaad ho hi gaye

Hum toh anjaan the unki neeyat se
Hum toh anjaan the unki neeyat se
Unko jaageer apni samajhte rahein

Hans ke milna toh aadat thi unki magar
Hans ke milna toh aadat thi unki magar
Humko dekho mohabbat samajhte rahein

Khwaab hi khwaab bas woh dikhaate rahein
Khwaab hi khwaab bas woh dikhaate rahein
Humko dekho haqeeqat samajhte rahein

Hans ke milna toh aadat thi unki magar

हंस के मिलना Lyrics in Hindi

है वो इतने हसीन हमको है ये यकीन
हुस्न सारा उन्हीं पे ख़तम हो गया
जितने चेहरे थे बे नूर सब हो गए
हुस्न सारे ज़माने का कम हो गया

हम तो नादान थे इश्क़ के खेल में
हम तो नादान थे इश्क़ के खेल में
बेरुखी को भी चाहत समझते रहें

हंस के मिलना तो आदत थी उनकी मगर
हंस के मिलना तो आदत थी उनकी मगर
हमको देखो मोहब्बत समझते रहें

ख़्वाब ही ख़्वाब बस वो दिखाते रहें
ख़्वाब ही ख़्वाब बस वो दिखाते रहें
हमको देखो हकीकत समझते रहें

bharatlyrics.com

हंस के मिलना तो आदत थी उनकी मगर

हमने देखी है आँखें बहुत सी मगर
उनकी आँखों में लेकिन अलग बात है
हमने देखी है आँखें बहुत सी मगर
उनकी आँखों में लेकिन अलग बात है

बात करती हुई मुस्कुराती हुई
ऐसी आँखों से पहली मुलाकात है

शौक़ बर्बाद होने का हमको भी था
इश्क़ में हम भी बर्बाद हो ही गए
बर्बाद हो ही गए

एक दफा तुम पलट कर तो देखो हमें
हम भी समझेंगे आबाद हो ही गए

हम तो अंजान थे उनकी नीयत से
हम तो अंजान थे उनकी नीयत से
उनको जागीर अपनी समझते रहें

हंस के मिलना तो आदत थी उनकी मगर
हंस के मिलना तो आदत थी उनकी मगर
हमको देखो मोहब्बत समझते रहें

ख़्वाब ही ख़्वाब बस वो दिखाते रहें
ख़्वाब ही ख़्वाब बस वो दिखाते रहें
हमको देखो हकीकत समझते रहें

हंस के मिलना तो आदत थी उनकी मगर

Hans Ke Milna Lyrics PDF Download
Print Print PDF     Pdf PDF Download