Haq Mangate Hai Apne Pasine Ka Lyrics - Mohammed Rafi

Haq Mangate Hai Apne Pasine Ka lyrics, the song is sung by Mohammed Rafi from Baap Bete (1959). Haq Mangate Hai Apne Pasine Ka Philosophical soundtrack was composed by Madan Mohan Kohli with lyrics written by Rajendra Krishan.

Haq mangte hai apne pasine ka
Adhikar hame bhi hai jine ka
Haq mangte hai apne pasine ka
Adhikar hame bhi hai jine ka
Haq mangte hai apne pasine ka

Tum lakh amiro aish karo
Ham dekh tumhe kab jalte hai
Ham dekh tumhe kab jalte hai
Saye me tumhare mahlo ke
Lekin kitne gam palte hai
Dekho to nazara aake kabhi
Haq mangte hai apne pasine ka
Adhikar hame bhi hai jine ka
Haq mangte hai apne pasine ka

bharatlyrics.com

Mehant pe hamari hi tumne ye
Shishmahal hai khada kiya
Shishmahal hai khada kiya
Tum jinko chota kahte ho
In choto ne tumko bada kiya
Kyu sal ke piche chubhta hai
Phir bonas ek mahine ka
Haq mangte hai apne pasine ka
Adhikar hame bhi hai jine ka
Haq mangte hai apne pasine ka

Tum khud bhi jiyo aur jine do
Hai mang yahi mazaduro ki
Hai mang yahi mazaduro ki
Insaaf karo insaf karo
Ab aah na lo mazduro ki
Shola na kahi bankar bhadke
Ab tak jo dhua hai sine ka
Haq mangte hai apne pasine ka
Adhikar hame bhi hai jine ka
Haq mangte hai apne pasine ka
Adhikar hame bhi hai jine ka
Haq mangte hai apne pasine ka.

Haq Mangate Hai Apne Pasine Ka Lyrics PDF Download
Print Print PDF     Pdf PDF Download