Haseeno Sambhalo Apni Ye Duniya Lyrics - Mohammed Rafi

Haseeno Sambhalo Apni Ye Duniya lyrics, the song is sung by Mohammed Rafi from Khota Paisa (1958). The music of Haseeno Sambhalo Apni Ye Duniya Masti track is composed by Madan Mohan Kohli while the lyrics are penned by Rajendra Krishan.

Haseeno sambhalo apni ye duniya
Hum to chale veerano mein
Dekho hamara naam na lena
Ab apne deewaanon mein
Haseeno sambhalo apni ye duniya
Hum to chale veerano mein

Jis duniya ka husn hai maalik
Us duniya mein kya rehte
Jis duniya ka husn hai maalik
Us duniya mein kya rehte
O zulfonwaalon naaz tumhaare
Aakhir kab tak hum sehte
Tum mehlon mein mast raho
Hum kudrat ke maikhaanon mein
Haseeno sambhalo apni ye duniya
Hum to chale veerano mein

Bhala hua na kabhi kisi ka
Ishq ki jhooti basti mein
Arre bhala hua na kabhi kisi ka
Ishq ki jhooti basti mein
Achcha hua ke rog ye chhoota
Ab guzregi masti mein
Na dil mein armaan hi honge
Na hulchul armaanon mein
Haseeno sambhalo apni ye duniya
Hum to chale veerano mein

bharatlyrics.com

Ab na khushi se kaam hamein
Na matlab hai barbaadi se
Ab na khushi se kaam hamein
Na matlab hai barbaadi se
Aap bajaaye apni bansi
Nagar nagar azaadi se
Koyee jiye ya mar jaayein hum
Mast hai apni taanon mein
Haseeno sambhalo apni ye duniya
Hum to chale veerano mein
Ho dekho hamara naam na lena
Ab apne deewano mein.

Haseeno Sambhalo Apni Ye Duniya Lyrics PDF Download
Print Print PDF     Pdf PDF Download