Is Duniya Me O Duniyawalo Lyrics - Mohammed Rafi

Is Duniya Me O Duniyawalo lyrics, the song is sung by Mohammed Rafi from Do Bhai (1969). Is Duniya Me O Duniyawalo Happy soundtrack was composed by Laxmikant Shantaram Kudalkar (Laxmikant Pyarelal), Pyarelal Ramprasad Sharma (Laxmikant Pyarelal) with lyrics written by Anand Bakshi.

Is duniya me o duniyawalo
Bada mushkil hai insaf karna
Is duniya me o duniyawalo
Bada mushkil hai insaf karna
Bada aasan hai dena sajaye
Bada mushkil hai par maf karna
Is duniya me o duniyawalo
Bada mushkil hai insaf karna

bharatlyrics.com

Bura hai jamana tujhse ho jaye na kuch burai
Tu bhala hai bura hai jamana
Is jamane se sun aye diwane
Apna daman tu jara bachana
Dag lag jaye daman pe koi
Aasuo se pade saf karna
Bada aasan hai dena sajaye
Bada mushkil hai par maf karna
Is duniya me o duniyawalo
Bada mushkil hai insaf karna

Chal pada tu udhar kyu musafir
Jis taraf koi manjil nahi hai
Chal pada tu udhar kyu musafir
Jis taraf koi manjil nahi hai
Koi kaliyo ka gulshan nahi hai
Koi phulo ki mahfil nahi hai
In raho pe bikhre hai kate
In raho se bach ke gujarna
Bada aasan hai dena sajaye
Bada mushkil hai par maf karna
Is duniya me o duniya walo
Bada mushkil hai insaf karna
Bada mushkil hai insaf karna
Bada mushkil hai insaf karna

Jis bharam me tu khoya hua hai
Wo bharam todna ho padega
Jis bharam me tu khoya hua hai
Wo bharam todna ho padega
Farz or pyar me se samjh le
Ek ko chodna hi padega
Paw na rakh yu do kashtiyo me
Dekh tu dub jayega warna
Bada aasan hai dena sajaye
Bada mushkil hai par maf karna
Is duniya me o duniyawalo
Bada mushkil hai insaf karna
Is duniya me o duniyawalo
Bada mushkil hai insaf karna
Bada aasan hai dena sajaye
Bada mushkil hai par maf karna
Is duniya me o duniyawalo
Bada mushkil hai insaf karna.

Is Duniya Me O Duniyawalo Lyrics PDF Download
Print Print PDF     Pdf PDF Download