Jaan-E-Jaan Lyrics - Aditya Rikhari, Farhan Khan

JAAN-E-JAAN LYRICS: The song is sung by Aditya Rikhari and Farhan Khan and released by T-Series label. JAAN-E-JAAN is a Playful song, composed by Ravator, with lyrics written by Farhan Khan and Aditya Rikhari.

Jaan-E-Jaan Lyrics

Kaisi ulfat hai jaana
Dil bhi lagana museebat hai jaana
Par tu badi dilkash hai jaana
Tu badi dilkash hai jaana

Le tere ishq mein deewane ki
Ho gayi kya haalat hai jaana
Par tu badi dilkash hai jaana

Le haazir phir teri khidmat mein jaana
Na tu haan tu mere ishq ko aabaad kar
Yun kuch yun bhar baahon mein ke aazaad kar
Tu rakh le saansein meri girvi magar
Ye qarz de ke mujhse kabhi jaane ki na phir baat kar

Le jaane ja tera hua
Jee chahe waise kharch de
Kar de dawa har dard ki
Jee bhar ke phir se mujhe dard de

Kar zaalima ek aur dafa barbaad
Par is shart pe
Tere hijr gham se na marein
To maar dena mujhe hans ke

Baithe-baithe chaukhaton pe teri
Meri jaana kitne hi din yun hi kat gaye hain
Bhoori-bhoori aankhein jise dekho maar daale
Mujhe bhi dekho nazar bhar ke hai

bharatlyrics.com

Jaan ja rahi ho par tu saamne
Jo mere dil dekhe tujhe ruk-ruk ke hai
Ye mehndi mere naam ki hatheliyon pe teri ho
Khudaya aisa kuch kar de hai

Sab haar baitha teri chaand baaliyon ke sadqe
Teri misaal nisbat ki qawwaliyon mein darj hai
Main mamooli sa shayar teri tareefein karoon
Tu meri shayari pe bajne waali taaliyon se badh ke

Mujhe zaroorat teri jaise raat ko suhaati
Jaise baat ko zabaan ki kandhe saath ko khuda ki
Tu khwaab mera chaahoon apne khwaab ko main paaloon
Tu zaroorat meri jaise uthe haath ko dua ki

Mere sajdon mein shaamil aur namaazon mein bhi
Mere gunaah mein shaamil tu meri sharaab mein bhi
Aur jab sharaab ban ke utre mere jism mein tu
Har zarra-zarra tera mera kuch bacha hi nahi

Le jaane ja tera hua jee chahe waise kharch de
Kar de dawa har dard ki jee bhar ke phir se mujhe dard de
Kar zaalima ek aur dafa barbaad par is shart pe
Tere hijr gham se na marein to maar dena mujhe hans ke

Jaan-E-Jaan Lyrics PDF Download
Print Print PDF     Pdf PDF Download

FAQs

The song Jaan-E-Jaan is from the T-Series.

The song Jaan-E-Jaan was sung by Aditya Rikhari and Farhan Khan.

The music for Jaan-E-Jaan was composed by Ravator.

The lyrics for Jaan-E-Jaan were written by Farhan Khan, Aditya Rikhari.

The music director for Jaan-E-Jaan is Ravator.

The song Jaan-E-Jaan was released under the T-Series.

The genre of the song Jaan-E-Jaan is Playful.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *