Jaane Wo Kaun Hain Lyrics - Mohammed Rafi

Jaane Wo Kaun Hain lyrics, the song is sung by Mohammed Rafi from Bheegi Raat (1965). Jaane Wo Kaun Hain Playful soundtrack was composed by Roshanlal Nagrath (Roshan) with lyrics written by Majrooh Sultanpuri.

Jaane wo kaun hain
Kyaa naam hai un aankhon kaa
Dil pe anjaani si
Tasveer banaa deti hain
Bujh ke reh jaati hai
Jab koi tamannaa dil mein
Ik chiraag aur bhi
Chupke se jalaa deti hain
Jaane wo kaun hain

Mujhko behlaati hain
Naashaad jo hotaa hoon kabhi
Neend mein rang milaati hain
Jo sotaa hoon kabhi
Jaagtaa hoon to haay
Jaagtaa hoon to
Kai khwaab dikhaa deti hain
Jaane wo kaun hain
Kyaa naam hai un aankhon kaa
Hmm hmm hmm
Hmm hmm hmm

Jab bhi uthhti hain
Chhalakti hain gulaabi ki tarah
Der tak main to
Behaktaa hoon sharaabi ki tarah
Kyaa kahoon chupke se haay
Kyaa kahoon chupke se
Kyaa cheez pilaa deti hain
Jaane wo kaun hain

bharatlyrics.com

Roz milti hain wo
Tanhaa nahin rehne detin
Ye hai baat aur ki
Apnaa nahin kehne detin
Aur keh doon to haay
Aur keh doon to
Palak hans ke jhukaa detin hain
Jaane wo kaun hain
Kyaa naam hai un aankhon kaa
Dil pe anjaani si
Tasveer banaa deti hain
Jaane wo kaun hain.

Jaane Wo Kaun Hain Lyrics PDF Download
Print Print PDF     Pdf PDF Download