Jaavedaan Hai Lyrics - Krishnakumar Kunnath (K.K)

Jaavedaan Hai lyrics, the song is sung by Krishnakumar Kunnath (K.K) from 1920: Evil Returns (2012). Jaavedaan Hai Romantic soundtrack was composed by Chirantan Bhatt with lyrics written by Shakeel Azmi.

Hoho hoohh hoo…
Wooh woh woh hoh hooo..

Karta hun tujhme din gujar main
Karta hun tujhme shab bashar
Karta hun tujhme hi shehar main
Jeeta hun tujhko dekhkar
Dil tere bin thehra sa hai
Tu dhadkanon ka hai safar
Kaaton bhara har rasta
Phullon ki hai tu reh-guzar

Javedaan hai ishq tujhse
Javedaan hai janon dil ke
Darmiyaan hain darmiyaan tu haan

Jaavedaan hai ishq tujhse
Jaavedaan hai tujhme hi dil
Ud raha hai asmaan tu haan

Saath tere jab se hai mujhko mila
Waqt ki shaakhon pe hai harpal khila
Zindagi se ab nahi koi gila
Jitna hai tu utna hoon mian
Naa kuch zyada naa hoon kam
Tujhse shuru hota hoon main
Hota hoon tujhpe hi khatam

Javedaan hai ishq tujhse
Javedaan hai janon dil ke
Darmiyaan hain darmiyaan tu haan

Javedaan hai ishq tujhse
Javedaan hai tujhme hi dil
Ud raha hai asmaan tu haan

bharatlyrics.com

Maine tujhko is tarah se hai jiya
Aandhiyon me jaisa jalta hai diya
Ishq se har faasle ko tay kiya
Jo the juda humse khafa lamhe
Woh saare kat gaye
Tum mil gaye banke subah
Jo the andhere hat gaye

Javedaan hai ishq tujhse
Javedaan hai janon dil ke
Darmiyaan hain darmiyaan tu haan

Jaavedaan hai ishq tujhse
Jaavedaan hai tujhme hi dil
Ud raha hai asmaan tu haan.

Jaavedaan Hai Lyrics PDF Download
Print Print PDF     Pdf PDF Download