Janey Valo Jara Mud Ke Dekho Mujhe Lyrics - Mohammed Rafi

Janey Valo Jara Mud Ke Dekho Mujhe lyrics, the song is sung by Mohammed Rafi from Dosti (1964). The music of Janey Valo Jara Mud Ke Dekho Mujhe Sad track is composed by Laxmikant Shantaram Kudalkar (Laxmikant Pyarelal), Pyarelal Ramprasad Sharma (Laxmikant Pyarelal) while the lyrics are penned by Majrooh Sultanpuri.

Janey valo jara, mud ke dekho mujhe
Ek insan hu mai tumharee tarah
Jisne sabko racha, apne hee rup sey
Usakee pahchan hu mai tumharee tarah
Janey valo jara

Iss anokhe jagat kee mai takdir hu
Mai vidhata ke hatho kee tasvir hu, ek tasvir hu
Iss jahan ke liye, dharatee man ke liye
Shiv kaa varadan hu, mai tumharee tarah
Janey valo jara

bharatlyrics.com

Mann ke andar chhipaye milan kee lagan
Apne suraj sey hu ek bichhadee kiran, ek bichhadee kiran
Phir raha hu bhatakata, mai yaha sey vaha
Aur pareshan hu, mai tumharee tarah
Janey valo jara

Mere pas aao chhodo yah sara bharam
Jo mera dukh vahee hai tumhara bhee ghum, hai tumhara bhee ghum
Dekhata hu tumhe janata hu tumhe
Lakh anjan hu mai tumharee tarah
Janey valo jara.

Janey Valo Jara Mud Ke Dekho Mujhe Lyrics PDF Download
Print Print PDF     Pdf PDF Download