Kaha Gayi Wo Teri Ahimsa Lyrics - Kishore Kumar

Kaha Gayi Wo Teri Ahimsa lyrics, the song is sung by Kishore Kumar from Nasbandi (1978). Kaha Gayi Wo Teri Ahimsa Patriotic soundtrack was composed by Anandji Virji Shah, Kalyanji Virji Shah with lyrics written by Indeevar (Shyamalal Babu Rai).

Janta ki aawaj hai ye
Sunle o bapu ghandi
Ye kaise hahakar desh mein
Ye kaisi aag ki aandhi
Kaha wo wo teri ahinsa
Kaha wo wo teri ahinsa
Kaha gaya vo pyar
Gandhi tere desh mein
Ye kaise atyachar
Bapu tere desh mein
Ye kaise atyachar
Ek bharat ban mein
Ban gaye jaliya wale bhag hajar
Gandhi tere desh mein
Ye kaise atyachar
Bapu tere desh mein
Ye kaise atyachar

Tune jab aawaj lagai
Sara hindusatan utha
Sara hindusatan utha
Angarejo ke dil bhi dahle
Aisa ek toofan utha
Aisa ek toofan utha
Khushi khushi tere
Kehne bharat wasi jail gaye
Sine pe goli jhel gaye
Apne prano par khel gaye
Apne prano par khel gaye
Naam pe tere lakho jawan
Duniya ke sab sukh bhul gaye
Dulhan ka ghunghat bin khole ho
Fansi pe jhul gaye
Fansi pe jhul gaye
Tu sawraj le aaya
Tu sawraj le aaya
Ham to phir bhi rahe lachar
Gandhi tere desh
Mein ye kaise atyachar
Bapu tere desh
Mein ye kaise atyachar

Aazadi ki jang lada
Tha kya isliye hindusatan
Are nayay mangena nayay lene
Ja na sake koi insan
Ja na sake koi insan
Kitne hi nirdosh yaha
Misa ke andar band huye
Andhe kuve me kitne hi
Aajad samandar band huye
Aajad samandar band huye
Kismat luta karte hai
Jo banke raaj ke pehredhar
Apni satta ko rakhne ko jo
Chine janta ke adhikar
Chine janta ke adhikar
Gandhi tere desh
Mein ye kaise atyachar
Bapu tere desh
Mein ye kaise atyachar

Dekhi kalambandi
Dekhi kahi juban bandi
Dekhi kahi juban bandi
Dar ki hukumat har dil par thi
Sara hindustan bandi
Sara hindustan bandi
Nasbandi ke naam par vo julm huye
Wo dukhiyo dino par
Lagta tha latka ho
Jaise parjatantar sangino par
Parjatantar sangino par
Surkhman wo khet aasaman
Tuta jaha jamino par
Chada diye buldojar
Bebas logo ke sino par
Bebas logo ke sino par
Bebas logo ke sino par
Apno ke hatho hi
Apne ke hatho pe
Apno par goli ki bauchar
Gandhi tere desh
Mein ye kaise atyachar
Bapu tere desh
Mein ye kaise atyachar

bharatlyrics.com

Sare desh par julm sitam ke
Ghor andhere jab chaye
Ghor andhere jab chaye
Tab parkash ki kirne
Lekar jaiparkash aage aaye
Jaiparkash aage aaye
Ghandi tere naam
Ki ab hogi jai jai kar
Ghandi tere naam
Ki ab hogi jai jai kar
Are jo bhi hukumat
Jurm karegi uski hogi har
Are jo bhi hukumat
Jurm karegi uski hogi har.

Kaha Gayi Wo Teri Ahimsa Lyrics PDF Download
Print Print PDF     Pdf PDF Download

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *