Kaise Hua Lyrics - Vishal Mishra

Kaise Hua lyrics, the song is sung by Vishal Mishra from Kabir Singh (2019). Kaise Hua Love soundtrack was composed by Vishal Mishra with lyrics written by Manoj Muntashir.

Hansta rehta hu tujhse mil kar kyu aajkal
Badle badle hain mere tevar kyun aajkal
Aankhein meri har jagah
Dhoondhe tujhe bewajah
Ye main hoon ya koi aur hai meri tarah

Kaise hua, kaise hua
Tu itna zaroori kaise hua
Kaise hua, kaise hua
Tu itna zaroori kaise hua

Main baarish ki boli samajhta nahi tha
Hawaaon se main yun ulajhta nahi tha
Hai seene mein dil bhi
Kahaan thi mujhe ye khabar

Kahin pe hon raatein
Kahin pe savere
Awaargi hi rahi saath mere
Thehar ja, thehar ja
Ye kehti hai teri nazar

Kya haal ho gaya hai ye mera
Aankhein meri har jagah
Dhoondhe tujhe bewajah
Ye main hoon ya koi aur hai meri tarah

bharatlyrics.com

Kaise hua, kaise hua
Tu itna zaroori kaise hua
Kaise hua, kaise hua
Tu itna zaroori kaise hua
Kaise hua, kaise hua
Tu itna zaroori kaise hua

hmm mmm…

Kaise Hua Lyrics PDF Download
Print Print PDF     Pdf PDF Download