Kanton Ke Saaye Mein Lyrics - Prabodh Chandra Dey (Manna Dey)

Kanton Ke Saaye Mein lyrics, the song is sung by Prabodh Chandra Dey (Manna Dey) from Vallah Kya Baat Hai (1962). Kanton Ke Saaye Mein Kids soundtrack was composed by Roshanlal Nagrath (Roshan) with lyrics written by Prem Dhawan.


Kanton ke saaye mein phulo ka ghar hai
Phulo ke ghar pe jo teri najar hai
Kante hata ke phul chun le
O raja sun sun le, o raja sun sun le


Dali dali jhume jaise titli
Khel tu bhi jag ki hawao se
Ho kanto ko bhi hasna sikhaye ja
Ho bholi bhali apni adao se
Jiskri yari baharo ki raho se
Use bhala kisi ka kya dar hai
Kanto ke sye mein phulo ka ghar hai
Phulo ke ghar pe jo teri najar hai
Kante hata ke phul chun le
O raja sun sun le, o raja sun sun le

Pyare yaha aasha ke chirago ki
Dukh ki pawan humjholi hai
Duniya mein neki se burai ki
Sada yahi aankh micholi hai
Aankh jisne bhalai pe kholi hai
Use bhala kisi ka kya dar hai
O raja sun sun le
O raja sun sun le

bharatlyrics.com

Gori gori hasi teri jo kabhi
Dab jaye gum kale kale se
Ban jahi mat ka sitara tu
Apne hi man ke ujale se
Dhunde rashta jo man ke ujale se
Use bhala kisi ka kya dar hai
Kanto ke sye mein phulo ka ghar hai
Phulo ke ghar pe jo teri najar hai
Kante hata ke phul chun le
O raja sun sun le. O raja sun sun le.

Kanton Ke Saaye Mein Lyrics PDF Download
Print Print PDF     Pdf PDF Download