Kaun Ho Tum Lyrics - Mahendra Kapoor

Kaun Ho Tum lyrics, the song is sung by Mahendra Kapoor from Stree (1961). The music of Kaun Ho Tum Happy track is composed by Ramchandra Narhar Chitalkar (C. Ramchandra) while the lyrics are penned by Bharat Vyas.

Nava madiraa, jaisi an chakhi
Nava madiraa
Jaisi an gidhaa murti
Jaane kisaki milan raat par
Chamakegi ye ban jyoti,
Aa aa aa

Kaun ho tum, kaun ho
Kaun ho tum, kaun ho
Kaun ho

Kavi ki madhur kalpana ho tum
Yaa gaayak ki madhurim taan
Kavi ki madhur kalpana ho tum
Kavi ki madhur kalpana ho tum
Yaa gaayak ki madhurim taan
Yaa sarita jal ki tarag ho
Arun kamal ki madhu muskaan

Kaun ho tum, kaun ho
Kaun ho tum, kaun ho
Kaun ho

Ritu basat ki pratham kali ho
Ritu basat ki pratham kali ho
Saawan ki pahali barasaat
Yaa chir virahi do hridayo ke
Yaa chir virahi do hridayo ke
Madhur milan ki pahali raat

Kaun ho tum, kaun ho
Kaun ho tum, kaun ho
Kaun ho

bharatlyrics.com

Pranaya git ki pratham pakti ho
Yaa manu ki pahali satan
Pranaya git ki pratham pakti ho
Yaa manu ki pahali satan
Nav yauwan ki pratham drishti ho
Nayano ki pahali pahachaan

Kaun ho tum, kaun ho
Kaun ho tum, kaun ho
Kaun ho.

Kaun Ho Tum Lyrics PDF Download
Print Print PDF     Pdf PDF Download