Khiza Ke Phool Mere Naseeb Mein Lyrics - Kishore Kumar

Khiza Ke Phool Mere Naseeb Mein lyrics, the song is sung by Kishore Kumar from Do Raaste (1969). Khiza Ke Phool Mere Naseeb Mein Sad soundtrack was composed by Laxmikant Shantaram Kudalkar (Laxmikant Pyarelal), Pyarelal Ramprasad Sharma (Laxmikant Pyarelal) with lyrics written by Anand Bakshi.

Khiza ke phool pe aati
Kabhi bahaar nahi
Mere naseeb mein aye
Dost tera pyaar nahi
Mere naseeb mein aye
Dost tera pyaar nahi

Khiza ke phool pe aati
Kabhi bahaar nahi
Mere naseeb mein aye
Dost tera pyaar nahi

bharatlyrics.com

Na jaane pyar mein kab
Main zubaan se phir jaaun
Main ban ke aansoo khud
Apni nazar se gir jaaun
Teri kasam hai mera
Koi aitbaar nahi
Mere naseeb mein aye
Dost tera pyaar nahi

Main roz ek nai raah takta hoon
Main roz ek naye
Gham ki aah takta hoon
Kisi khushi ka mere
Dil ko intezaar nahi
Mere naseeb mein aye
Dost tera pyaar nahi

Garib kaise mohabbat
Kare ameeron se
Bichhad gaye hain kai
Raanjhe apni heeron se
Kisi ko apne muqaddar
Pe ikhtiyaar nahi
Mere naseeb mein aye
Dost tera pyaar nahi

Khiza ke phool pe
Aati kabhi bahaar nahi
Mere naseeb mein aye
Dost tera pyaar nahi.

Khiza Ke Phool Mere Naseeb Mein Lyrics PDF Download
Print Print PDF     Pdf PDF Download